Thursday, 13 September 2018

sikkha darm sikhha darm ki suruat sikkha saktiyo ka uday

sikhha darm ki suruat sikkha saktiyo ka uday -

sukkha dhrm sanket
sikkha dharm





Sukha dharm  ki sthapna 16 th shatabdi  ke shuru me  Guru naanak dev ji ne ki thi.

Guru naanak ka janm  15 april 1469  me punjaab ke ek gaanv Talvadi ma hua tha.



ek baalak ke tour par unko duniya dari se kuch matlab nahi tha asaan shabdon me kisi prakar ka koi lagaav nahi tha .



unko 13 saal ki umra me gyan mila .
iske baad unhone desh ke sabhi bhago me yatra ki  or makka or bagdaad bhi gaye the.




Guru ang dev 1504  -1552 -

13 varsh 1539 -1552 ke liye  guru rahe .


unhone gurumukhi ki nai lipi ka aaviskar kiya or sikkho ko likhit bhasha di.



ubki mout ke baad guru Amar das ne pad garhan kiya .


Amar das 1479 -1574 -
inhone adhik se adhik  samarpan darshaya .
or Sikkha darm ke   avibhajy  bhagy ke rup me  Langar kiye .




Guru Ramdas - Ramdas ji ne 4th guru ka pad samhala ,inhone shlok banaye jinhe aage chalkar  pavitra lekho me shamil kiya .



Arjun dev -
Arjun dev ji ne 5th guru ka pad  grahan kiya .


inhone vishva prasidha Har mandir saahib ka nirman karvaya ,jo ki  amratsar ke svarn mandir se prasidh hai .


or ek pavitr granth ki rachana  ki .
jo Sikha darm ki pavitra pustak hai.
Arjun dev ne 1606 me sharir chhoda






Shree har govind -
inhone sthai saina banaye rakhi or do talware sanket ke rup me rakhi  ,jo adhyatmik or  maansik shakti ka rateek thi.


Guru har ray -Sikh dharm ke 7th Guru the .
jinka janm 1630 me hua tha .
or ingone  apne jivan ka adhikansh samay  dhyan or Guru nàanak ke baato ka prchar karne me bita .

inki mout 1661 me hui thi.




iske baadinka dusra ladka har kidhan ne pad garhan kiya .


Har Kishan -

Guru  Shree kishan ji ko 1661 me gyan mila .
inhine apna jivan Delhi ki mahamari se pideet logo ki seva me bitaya .
jis sthan par inki mout hui thi .
usko Delhi me Gurudwara bangla sahib kaha jata hai .



Shree teg bahadur - 1664 me guru bane  .


jab kashmir ke Mughal Rajypal ne Hinduo ko bal purvak  dharm parivartan karane ke liye vivash kiya  ,tab Guru Teg bahadur ne iske liye sangharsh  karne ka  faisla kiya  Gurudwara sisganj usi jagah hai jaha Guru sahib ki mout hui .
or Guru dwara  Rakabganj me inka antim sanskar hua .


Guru govind singh-
Guru govind singh jika  janm 1666 me hua tha .
or ve apne pita guru Tegbahadur ki mout ke baad guru bane .



Guru Govind singhne apni mout  ke samay "Guru  granth  saahib " sarvottam kaha or is prakar  ek dharmik  giru ko manonit karne ki parmpar  khatm hui.

No comments:

Post a Comment

interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...