Birsa munda andolan .
1857 ke baad mundao ne sardar andolan chalaya . jo ek shant andolan tha. jisse adivashiyo ki sthitee me koi badlav nahi aaya .
Mundao ne agami Andolan ko ugra rup dene ka faisala kiya.
sardar Andolan ke thik viprit Birsa munda Andolan ugra or hinsak tha .
is andolan ke naita Birsa munda ek padhe likhe naita the.
ye Andolan anek uddeshya ke liye chalaya tha ..
is Andolan ko mix Andolan bhi kahte hai.
kyoki isme arthik rajnetik badalaav or dharmik purnutthan jaise kai mudde the.
is andolan ke naita Birsa munda ek padhe likhe naita the.
ye Andolan anek uddeshya ke liye chalaya tha ..
is Andolan ko mix Andolan bhi kahte hai.
kyoki isme arthik rajnetik badalaav or dharmik purnutthan jaise kai mudde the.
Birsa muda Andolan ka arthik uddeshya :- Birsa munda Andolan arthik uddeshya tha ,ki diku jamidaaro (GAIR ADIWASI JAMIDAR) ne jo jamin kabze me ki thi usko vaapas lena .
adiwasi lambe waqt se is ke liye sangharsh kar rahe the.
or inko angreji sarkar se kisi baat ki ummid nahi thi .
isliye agreji shasan or Munda raj ko sthapit karne ka faisala liya .
Birsa munda ne ek naye dharn ka sahara lekar mundao ko ek kiya .
mundo ne 1899-1900 me vidroh kiya .
Birsa munda ki bhumika :- Birsa munda ne adiwasiyo ki khasta haalat dekhkar ,janindaro or thaikedaro ke atyacharo se mukti dilana chahte the.
Birsa munda jaante the ,ki shanti se koi kaam nahi hoga .isliye is Andolan ko ugra banane ke liye adhik se adhik navayuvko ko sammalit kiya .
Birsa munda ne ye ghushna kar di, ki koi sarkaar ko tex nahi dega .
Mundao unki baat maan li .
Birsa munda ki girftaari :- Birsa munda mo vidroh failane je jurm me 1895 ko girftaar kar liya .
unko 2 saal ki kaid hui .
iske baad jab vo chhut kar bahar aaye tab or bhi ursaah je sath ,yuvao ki is Andolan ke liye uksaya . apni sabhae janglo ne chhipkar karne lage ,or sabhi ko is Andolan me bhad laune ko kaha .
is Andolan me kai begunah ki mout hui ,jo ki sarkari noukar the.
Andolan ka patan:- 1899 me crismus ka din mundao ne hinsak virdoh kiya sabse pehle jo munda isaai bane the or jo sarkari kaan karte the.unko maarne ka praayas kiya ,lekin baad me is nitee me badlav kiya gaya .
or unko chhodkar isai
mashnriyo ke virudh awaj uthai .
Ranchi or singhbhum me anek charch me adiwasiyo ne hamle kiye ,or police Mundao ke krodh ka vishesh shikar bani .
parshan sarkar ne police or army ki madad or mundao ne chhapamar yudh ka sahara lekar police or army ka samna kiya .
lekin banduk ka mukabla teer kaba tak karti .
feb. 1900 me Birsa munda ko pheer se girftaar kar liya .
un pr rajdroh ka ilzam lagakar mukadma chalaya .
is douran unko haija ho gaya or 9 june 1900 ko unki mout ho gai .
parinaam:- Birsa munda ki mout kr baad Andolankamjor pad gaya Birsa munda ke 3 sahyogi ko phansi ki saza hui .
anek mundao ko jail bhej diya .
iske baad Andolan vifal ho gaya .
lekin baad me sarkar ko is topic par sochne ke liye majboor hona pada .
or aduwasiyo ki jamin ka sarvey kiya gaya .