kya hai sufivaad.
sufivaad |
Pad ,ali Sufi ,darvesh,fakir ka upyog muslim santo ke liye kiya jata hai .
jinhone apni purvabhasi shaktiyo ko badaane ke liye Vairagya apna kar sampurnta ki or jaakr ,tyag or atmaswikar le maadhyam se prayash kiya .
12 shatabdi a.d. tak Sufivaad islami ,samajik jivan sarvbhomik paksha ka maadhyam ban gaya ,kyoki ye pure islamik samuday me fail chuka tha.
Sufivaad islam dharmke andruni ya gud paksha ko ya islam dharm ki rahshya mai aayam ka pratinidheetva karta hai.
jabki Sufi santo ne sabhib dharmo or samudayo ke bhedbhavo se aage badkar vishal maanavta ke hit ke protsaahan ka kary kiya .
Sufi sant darshaniko ka aisa varg tha, jo apni dharmik vichardhara le liye prashidha raha.
Sufiyo ne ishwer ko sarvochch sundar mana hai, or aisa mana jata hai,ki sabhi ko iski prashansa karni chahiye .
uski yaad me khushi mehsus karni chahiye .
or keval usi par dhyan dena chahiye .
unhone vishwash kiya ki ishwer Mashuq or Sufi aashiq hai .
Sufivaad ne svayam ko vubhinn "silsilo ya kramo me baant liya .
sabse adhik 4 lokpriya varg hai - chisti ,suharavardis,kadiriyah ,or nakshbandi.
Sufivaad ne shahari or gramin kshetro me apna astitva jama liya ,or jansamuh par gahra saamajik ,rajnitik or saanskratik prabhav daala .
isme har prakaar ke dharmik oupcharikvaad rudivaadita ,aadamber or paakhand ke virudh awaj uthai or ek aise vaishvik varg ke srajan ka prayas kiya jisne adhyatmik pavitrata hi ek matra lakshya ho.
ek aise samay jab rajnitik shaktiya sangharsh ka pagalpan ke rup me prchalit tha.
Sufi santo ne logo ko naitik badhyata ka paath padaya .
sagharsh or tannav se bikhri duniya ke liye shanti sohard ka laane ka prayas kiya .
Sufivaad ka sabse bada yogdan ye hai ,ki apni prem ki bhavana ko viksit karke Hindu- muslim purvagraho ke bhed mitane ko sahayata di or in dono dharmik samudayo ke bich bhaichare ki bhavna paida ki.
dosto ye Sufivaad ke siddhant the.
apko kaise lage jarur bataye