bahubali ke mahismati nagar ki sachchai ,mahabharat kaalin mahismati -
introducton of mahismati |
bahubali film ka nagar mahishmati sochh ka nahi ,Balki Itihash ka nagar hai jo pehle kabhi raha tha
dosto ap sabhi ko film bahubali to yaad hi hogi .
aj hum ap ko Bahubali ke Mahismati nagar ki baat karenge.
ji haa doston Mahismati nagar koi kalpna nahi hai,sach me mahismati nagar tha.
or ye nagar Mahabharat kaal ke samay me tha .
Mahismati nagar ki sthitee-
ye nagar avanti mahajanapad me tha .
jo ki Mahabharat ke dirgh nikay or bhi nay grantho me likha hai.
avnti Mahajanapad ke dakshini bhag me ye ek important nagar tha.
baad me ye anup mahajanapad ke rajdhani ban gaya .
ye nagar aj ke samay ke Madhya pradesh ke narmada ke kinaare sthit Maheshwer Nagar or uske aas pass ke ilaake me tha.
kaha jata hai ki ,ye nagar 14 youjan ki hokar Pandav kaalin shuv mandir wala gaanv choli ( tehsil maheshwer dist. khargone ) tak tha .
kaha jata hai ki Aadi guru shankrachary or mandan mishra ka shastrarth yaha par hi hua tha .
aj us jagah ko chhappan dev mandir kaha jata hai.
Bharatiya prachin me Mahismati nagar ke baare me sahi tarah se maalum nahi hai.
kuchh logo ki maane to ye nagar Narmada nadi ke kinare par tha.
ye Ujjaiyani nagar ke dakshin or Pratistha nagar ke uttar me in dono nagar ke bich me tha.
Mahrshi Patnjali ne likha hai ki.
jo yaatri Ujjaiyani se yatra shutu karta tha to Mahismati me suryoday hota tha.
ye nagar Anuo Mahajanapad ki rajdhani thi.
Avanti "vindhya parvat "ke jariye do bhago me vibhakt hota tha.
Ujjaiyani uttari or Mahismati dakshini bhag me tha.
Mahismati ke raja or uski kahani -
kahte hai mahismati ka raja neel tha .
agnidev neel ki rajkumari se prem karne lage the.
jisse raja naraj ho gaye .
agnidev ne rankumari ko rijhane ke liye ek brahman ka rup le liya tha . tab raja ne uski sajaa ka aadesh de diya , uske baad agnidev apne asli rup me aa gaye .
pheer ne apna adesh vaapas le liya
raja neel ne agni dev ko rajya ki surkhsha ke liye mana liya
kai saal baad jab pandav rajkumar yudhisthir har kisi se jeet prapt karne ka abhiyan chalaya tab sahdev ne Mahismati par hamla karne se pehle agnidev se prarthna ki thi.
iske baad Neel ne kurukshetra ke yudh me sarthi ka kaam kiya .
vishnu puran ke anusaar Rawan ne kaartvirya arjun ke sshasan kal me Mahismati par hamla kiya jsme rawan ki haar hui thi.
dosto kaisa laga ye articale mujhe jarur bataye