Showing posts with label anant chatudashi ki kstha. Show all posts
Showing posts with label anant chatudashi ki kstha. Show all posts

Sunday, 16 September 2018

anant chatudashi ki kstha ,अनंत चतुर्दशी व्रत विधि एवं कथा हिंदी में- Anant Chaturdashi in

anant chatudashi  ki kstha  ,the story of anant chaturdashi

anant chaturdashi ka festival  "Hundu dharm me ek  khas ahmiyat rakhata hai.

anant chaturdashi image






mahar aj main  Anant Chaturdashi ki katha bataunga  .

iske vrat ke douran sunai jaati hai .

Anant chaturdashi ek maahaan vrat rupi Festival jo ki humaare paap ko kam karta hai Hindu dharm ke anusaar , jo iska vrat  karta hai vo sukh suvudha se sampanna ho jata hai  .


ji haa dosto main apko iski katha batata hu.



Katha is prkaar hai 



kissa Mahabharat ka hai .
ek baar  Majaraj yudhistir ne ek yagya kiya jiska naam tha rajsury yagy us samay  yagay ka jo mandap yaani yagy ka sathan or raj mahal is tarah sajaya gayaa jisse koi bhi insaan asaani se dhokha kha jaaye .



Mahal ki sajaawat - is mahal ki sajaawat is tarah se ki gai thi  


jsse jameen or paani me koi fark nahi jaan padta tha.


is sajawat me  aise taalab baanye gaye  jo ek dum jameen ke jaise dikhte the .

or jaameen par kuchh is yarah se  ki kaali  bichhi thi jo ki hu bahu paani ki jaisi dikhti thi.



Duryodhan ka apmaan-
is yagy me Duryodhan bhi shamil hua .
achanak Duryodhanbhraman karne nikal gaya .

gumte gumte is bhul bulaiya me fas gaya or ek jameen rupi taalab me gir gaya .




tab pandavo ki patni Dropati ne dekh liya or has kar ek baat kahi " andhe ka putra adha "kah kar uska majaak udhaya .




ye baat Duryodhan ko buri lag gai .
or usne badla lene ka faisla kiya .


usne badla lene ke liye pamdavo ko jua khelne bulaya jisko dyut bhi kahte hai .



us khel me pandav apna sab kuchh haar gaye .



dosto yaha tak to sabhi ko yaad hai.
ab aage suno 
is karari haar ke baad kiuchh sharto  ke saath pandavo ko daas le pad se chhoda gaya  usme 12 saal ka vanwas  or 1 saal ka agyat was tha .





lekin pandavo ko van me bhi kaafi taklif hui.


Bhagwan shree krishna ka pandavo se milna -
ek din shree krishna  pandavo se van me mile  ,tabyudhisthir ne apne dukh Shree krishna ke saamne kaha  .


tab shree krishna ne kahaa .
hy yudhisthir tum  vidhi puravak Anant chaturdashi ka vrat karo jisse Bhagwan Anant tumhara dukh door kar denge .


uske baad Bhagwan shree krishna ne unko Katha sunaai 



Shree krishna bole-
satyug me sumantu naamak ek muni the .
unki ek putri thi jiska naam tha susheela .
vo jitni sundar thi utnee hi gunwan vhi thi.





sumant muni ne uska vivah kondinya muni se kar diya .



jab kondinya muni  apni patni ke sath ghar aa rahe the.
 tab raste me unko raste me kuch striya  puja karte hui dikhi , tab  susheela ne pass jakar  us pujha or uske mahatva ko jaan liya  or unke sath  Bgagwan Anant ka pujan kiya or 
Anant sutra bandh liya 




kuchh din baad unka ghar dhan se bhar gaya .

ek din koundinya muni ne us Anant sutr ko dekh liya or ,apni patni  ko bhala bura kahne laga  .



or us Anant sutra ke baare me kahne laga lagaki ye koi  vashikaran sutra hai ,usne sone pati ko vash me karne ke liye bandh rakha hai  .



susheela ne samjhane ki koshis ki magar apne ghamant me koundiny muni ne ansuna kar us sutra ko todkar jala diya .





kuchh dino baas unki sampati nast ho gai .
or  rastey par aa gaye .


tab koundinya muni ne apne paap ka prayschit karne ka faisla kar van me Bagwan Anant ko dhundhme chale gaye .







bahit dundha magar unko  Bhagwan nahi mile .

  vo aane jaane walo se bhi puchhte  magar unko Bhagwan Anant kahi nahi mile .




ab akhir me koundinya muni ne apni jaan daine ka faisla kiya .



jaise vo jaan dene ko taiyaar hue  , tabhi ek buddhe brahman ne unko aisa karne se roka , or ek gufa me le gaye .


jaha Bhagwan  apne chaturbhuj rup me the .

tab Bhagwan ne koundinya muni se kaha .



tumne Anant sutra ka apmaan kiya hai ye sab uska parinaam hai .




or agar tum iska  prayschit karna chahte ho to  tuko 14 saal tak  lagataar anant vrat karna hoga  jisse tumhaari khoi hui doulat bhi tumko mil jayegi .


koundinya muni ne unki aagya maan li or 14 saal tak us vrat ka dharm purvak paalan kiya .


or apni khoi sampati vaapas paa li .





shree krishna Bhgwan bole ,-hy yudhusthir insaan apne hi karmo ke hisaab se  apna parinaam bhogta hai.

 fir shree krishna us vrat ki vidhi  batakar  vaha se chale gaye .





is vrat ko karke pandav  ne Kurukshetra ke yudh me jit haasul kar apna rajya vaapis paa liya 








matra - anant saagar mahasamudrmgna nsam bhyudhdar  vaasedev .
anant rupe viniyojit  mahanantrupay namo namstey

interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...