anant chatudashi ki kstha ,the story of anant chaturdashi
anant chaturdashi ka festival "Hundu dharm me ek khas ahmiyat rakhata hai.
mahar aj main Anant Chaturdashi ki katha bataunga .
iske vrat ke douran sunai jaati hai .
Anant chaturdashi ek maahaan vrat rupi Festival jo ki humaare paap ko kam karta hai Hindu dharm ke anusaar , jo iska vrat karta hai vo sukh suvudha se sampanna ho jata hai .
ji haa dosto main apko iski katha batata hu.
Katha is prkaar hai
kissa Mahabharat ka hai .
ek baar Majaraj yudhistir ne ek yagya kiya jiska naam tha rajsury yagy us samay yagay ka jo mandap yaani yagy ka sathan or raj mahal is tarah sajaya gayaa jisse koi bhi insaan asaani se dhokha kha jaaye .
Mahal ki sajaawat - is mahal ki sajaawat is tarah se ki gai thi
jsse jameen or paani me koi fark nahi jaan padta tha.
is sajawat me aise taalab baanye gaye jo ek dum jameen ke jaise dikhte the .
or jaameen par kuchh is yarah se ki kaali bichhi thi jo ki hu bahu paani ki jaisi dikhti thi.
Duryodhan ka apmaan-
is yagy me Duryodhan bhi shamil hua .
achanak Duryodhanbhraman karne nikal gaya .
gumte gumte is bhul bulaiya me fas gaya or ek jameen rupi taalab me gir gaya .
tab pandavo ki patni Dropati ne dekh liya or has kar ek baat kahi " andhe ka putra adha "kah kar uska majaak udhaya .
ye baat Duryodhan ko buri lag gai .
or usne badla lene ka faisla kiya .
usne badla lene ke liye pamdavo ko jua khelne bulaya jisko dyut bhi kahte hai .
us khel me pandav apna sab kuchh haar gaye .
dosto yaha tak to sabhi ko yaad hai.
ab aage suno
is karari haar ke baad kiuchh sharto ke saath pandavo ko daas le pad se chhoda gaya usme 12 saal ka vanwas or 1 saal ka agyat was tha .
lekin pandavo ko van me bhi kaafi taklif hui.
Bhagwan shree krishna ka pandavo se milna -
ek din shree krishna pandavo se van me mile ,tabyudhisthir ne apne dukh Shree krishna ke saamne kaha .
tab shree krishna ne kahaa .
hy yudhisthir tum vidhi puravak Anant chaturdashi ka vrat karo jisse Bhagwan Anant tumhara dukh door kar denge .
uske baad Bhagwan shree krishna ne unko Katha sunaai
Shree krishna bole-
satyug me sumantu naamak ek muni the .
unki ek putri thi jiska naam tha susheela .
vo jitni sundar thi utnee hi gunwan vhi thi.
sumant muni ne uska vivah kondinya muni se kar diya .
jab kondinya muni apni patni ke sath ghar aa rahe the.
tab raste me unko raste me kuch striya puja karte hui dikhi , tab susheela ne pass jakar us pujha or uske mahatva ko jaan liya or unke sath Bgagwan Anant ka pujan kiya or
Anant sutra bandh liya
kuchh din baad unka ghar dhan se bhar gaya .
ek din koundinya muni ne us Anant sutr ko dekh liya or ,apni patni ko bhala bura kahne laga .
or us Anant sutra ke baare me kahne laga lagaki ye koi vashikaran sutra hai ,usne sone pati ko vash me karne ke liye bandh rakha hai .
susheela ne samjhane ki koshis ki magar apne ghamant me koundiny muni ne ansuna kar us sutra ko todkar jala diya .
kuchh dino baas unki sampati nast ho gai .
or rastey par aa gaye .
tab koundinya muni ne apne paap ka prayschit karne ka faisla kar van me Bagwan Anant ko dhundhme chale gaye .
bahit dundha magar unko Bhagwan nahi mile .
vo aane jaane walo se bhi puchhte magar unko Bhagwan Anant kahi nahi mile .
ab akhir me koundinya muni ne apni jaan daine ka faisla kiya .
jaise vo jaan dene ko taiyaar hue , tabhi ek buddhe brahman ne unko aisa karne se roka , or ek gufa me le gaye .
jaha Bhagwan apne chaturbhuj rup me the .
tab Bhagwan ne koundinya muni se kaha .
tumne Anant sutra ka apmaan kiya hai ye sab uska parinaam hai .
or agar tum iska prayschit karna chahte ho to tuko 14 saal tak lagataar anant vrat karna hoga jisse tumhaari khoi hui doulat bhi tumko mil jayegi .
koundinya muni ne unki aagya maan li or 14 saal tak us vrat ka dharm purvak paalan kiya .
or apni khoi sampati vaapas paa li .
shree krishna Bhgwan bole ,-hy yudhusthir insaan apne hi karmo ke hisaab se apna parinaam bhogta hai.
fir shree krishna us vrat ki vidhi batakar vaha se chale gaye .
is vrat ko karke pandav ne Kurukshetra ke yudh me jit haasul kar apna rajya vaapis paa liya
matra - anant saagar mahasamudrmgna nsam bhyudhdar vaasedev .
anant rupe viniyojit mahanantrupay namo namstey
No comments:
Post a Comment