Wednesday, 12 September 2018

Mughal samrajya India India - The Mughal Empire, 1526–1850

Mughal samrajya  India India - The Mughal Empire, 1526–1850.

Bharat me mughal rajvansh ek mahan shasako me se ek tha .

mughlo ne hazaaro lakho logo par rajya kiya Bharat  ek niyam ke tahat ekatra ho gaya or yaha  vibhinna prakar ki sanskratikor rajnitik samay avdhi mughal shaasan ke douran dekhi gai .

pure Bharat me anek muslim or Hindu rajvash tute  or uske baad mughal sansthapak yahaa aaye .


mughal kaskin image
mughal kaslin 


kuch aise log hue hai.
jaise 



baabar -jo mahaan asiaai vijeta Temur lang  ka pota .
changej khan - jo ganga ghati ke uttri kshetra se aaya tha,jisne Khaibar pr kabza kiya or ant me Pure Bharat par .




Baabar 1526 -1530- 
 ye Temur lang or  changejkhan ka  poutra tha,Bharat me  pehla mughal shasak tha.
usne panipat ke pratham yudh me 1526 me lodhi ko haraya tha .



is  prakar aakhir me mughal rajvansh   sthapna hui .

Baabar ne 1530  tak shasan kiya or uske baad uska baita Humaayu gaddi par baitha .


Humayu 1530-1540-
 Baabar ka sabse bad ladka Humayu tha .
jisne apne pita ke baad  Mughal rajvansh ke dusre  samrat ke rup me rajya kiya  .
usne lagbhag 1 dashak tak rajya kiya . lekin usko ek afgani  Sher shah suri ne haraya  .



Humayu apni haar ke baad  , 15 saal tak bhatkata raha .



is bich Sher shah suri ki mout ho gai.
or Humayu uske uttarvarti Sikandar suri ko harane me kaamyab ho gaya or doubaara Hindustan ka rajya  paa liya .
lekin  keval 48 saal ki umra me hi uski mout ho gai.
a


Sher shah  suri 1540 -1545 - 
ye ek afgaani naita tha .
jisne 1540 a.d. me Humayu ko haraya tha .
Sher shah ne 5 saal tak Delhi par rajy kiya  .
 vo is upmahadvip me apne kshetra ko sthai nahi kar paaya .
ek raja ke najriye se uske khate me  uplabdhiya bahut hai .
 uske  daksha  lok prashasan ki  sthapna ki.
uske lok kary uske bhumi maap ke adhar par tex vasulne ki prnaali banai .

uske rajy me logo ko insaaf milta tha.


anek lokkary uske kam samay ke karykal me hur.

jaise ki ped lagana , yaatriyo ke liye kue or saraai nirman  usike shasankaal me Delhi se kaabul tak  grand trunk road ko banaya gaya .

 mudra badakar  silver coin  ko banwaya .
Sher shah rajgaddi par jyada din tak jeevit nahi rah sakaa ,5 saal ke baad uski mout ho gai.



Akbar 1556- 1605-


Humayu ke putr akbar ka janm  uske nirvasan ke douran ho gaya tha.
or keval 13 saal ki umra me uske pita ki mout ho gai thi.


Akbar ko Itihas me ek pramukh jagah mili hai.

vo ekmatr aisa shasak tha ,jisne Mughal samrajy ko shaktishali banaya .



lagatar vijay paane ke baad usne Bharat ke adhikash hisso par apna kabza jama liya .

jo hisse uske shasan me nahi aate unko sahayak  bhag ghoshit kar diya .

usne Rajputo ke prati udarvadi neeti apnai or unke khatro ko kam kiya .

Akbar ek mahan vijeta hi nahi  , balki ek saksham sangthan karta ,ek mahan shasak bhi tha.

usne aise sansthano ki sthapna ki ,jo ek prashasnik pranali ki neev shidha hui.


jisko Brtish kaal me bhi pracharit kiya jata  tha.
Akbar ke shasankal me  gair muslimo ke prati udarvadi nitiya ,uske dharmik  navachar ,bhumi rajsva or uski man sabdari  pratha  Mughal sainy sangthan or nagrik  prashasan ka adhar bani .

Akbar ki mout uske raja banane ke 50 saal baad hui thi.
or usko sikandrabaad me agra ke bahar dafnaya gaya.
 tb uske ladke Jahagir ne rajya samhala .




Jahagir -
Akbar ke baad uske baite Salim ne rajya samhala ,jisko Jahagir ki upadhi mili  ,jiska arth hota hai" duniya ka vijeta " USNE MEhar un nisa se nikah kiya tha ,jise usne Nurjaha ka naam diya  .


vo usse bahut prem karta tha.or usne prashasan ki bagdor Nurjaha ko soup di .


usne kanda or kishwar ke alava apne rajya ka vistar kiya  or Mughal samrajy me bangal ko bhi mila liya.






Jahagirke andar apne pita ke jaisi rajnitik udhham shilta ki kami thi .
lekin vo imandar or shahanshil tha .


usne samaj sudhar ke kai kaam kiye ,or Hindu,isaaiyo  or jyus ke prati udar tha.


jabki sikhho ke prati sambandha kharab the.


or das guruo me se 5th Arjundev ko Jahagir ne mout ke ghat utar diya .
jin par ye arop tha,ki unhone  Jahagir ke bagawati baite khusru ki sahayat ki.




Jahagir ke shasankaal me kalaa ,saahitya ,or vaastu kalaa  badi .
or Shree nagar me banaya gaya Mughal garden  . uski kalaatmak  abhiruchi ka ek sthai  prmaan hai. uski mout 1627a.d. me hui thi.



shajahaa -
Jahagir ke baad uske duste ladke khurram ne 1628a.d. me rajy samhala  .
khurram ne shajahaa ka  naam  vigrah  kiya jiska arth hai "duniya ka raja" .



usne uttar disha me kandhar tak apne rajya ka vistar kiya ,or dkashin Bharat ka adhikansh  bhag jit liya .



shahjahaa ka karykaal uchh shikhar par tha.

is avdhi me Mughal shasan ki kalaao or sanskrati ke anokhe vikas ko dekhne ka avsar mila , Shahjahaa ko vaastukalaa ka raja kaha jata hai.
Laal kila , jama masjid  Delhi me sthit ye dono imaarate civil abhiyantrikee or kalaa ki  uplabdhi ke rup me hai .




in sab ke alava Sahjahaa ko aj  Tajmahal ke liye  yaad kiya jata hai.
usne apni priya  patni ke liye mumtaj mahal  safed sanarmar  se banaya gaya tha.



ourangjaib-
ojrangjaib ne 1658 m3 shasan  samhala or 1707 tak rajy kiya jo Akbar ke barabar tha.

lekin durbhagy se apne 5 baito ko  ko shahi darbaar se door rakha,
iska natiza ye hua ,ki unme se kisi ko bhi sarkar chalane ki kalaa ka prashikshan  nahi mila  isse aage chalkar  iska nuksan uthana pada  .

apne 50 saalo ke shasankaal me ourangjaib  ne is pure upmahadwip ko ek sath ek shasan  laane ka prayaas kiya   .
usne kathin parishram kiya  .lekin akhiree  me uski  tabiyat bigadti chali gai
or   usnki 1707 a.d. me 90 saal ki umra me uski mout ho gai .
uske sath hi vighatan taaqate uth khadi hui  or shaktishali Mughal samrajy ka patan shuru ho gaya .



Mughal samrajya ka patan -
Mughal shasan ka patan 1707 me ourangjaib ki mout  ke baad shuru ho gaya tha .
uska putra  or uttradhikari bahadurshah jafar pehle hi budhe ho gaye the.
,jab ve singhasan par baithe or unhe ek ke baad  ek bagawato ka samna karna pada  us samay samrajy ke saamne Maratho or british ko or se chunotiya mil rahi thi . Mughal samrajy ki  jade kamjor  ho gai thi.



o


iran ke nadir shah ne 1850 me Delhi par hamla kar diya . uske baad  dheere dheere mughal samrajy  maano tut kar bokhar gaya  or Delhi ke aas pass ek chhote se jila bankar rahgaya  .


pheer bhi  unhone apna rajy1850 tak kuchh hisso banaye rakha.

ye rajshahi  samrajy bahdur shah jafar ke bad khatm ho gaya  or bahadur shah jafar ki mout 1862 me hui thi    jiske Bharat ka  madhy kalin itihas bhi khatm ho gaya  .

iske baad british shasan shuru hona shuru ho gaya 

No comments:

Post a Comment

interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...