Delhi par shasan
bharat ke Itihas me 1206 ad se 1520 ke bich Delhi par muslim shasako ka rajy tha .
is avdhi ke douran 300 saalo tak delhi par shasan kiya.
jiske rajvans hai .
1) Gulam vansh .-1206 se 1290 tak.;-islma me samanta or parmparaye Dakshin asia ke Itihas me apne charam bindu par aphuch gai .jab Gulam vansh ko sultan ka darza mila
Gulam vnsh ne 84 saal tak rajy kiya .
ye ek muslim vansh tha .
jisne Bharat par rajya kiya .
mohhamad gory ka ek Gulam " kutubuddin eabak ne apne maalik ki mout ke baad shasan kiya or Gulam vansh ki sthapna ki .
ye ek maahan nirmaata bhi the.
jisne Delhi me 238 fit uchhe patthar rupi minar ko banaya .
eltutumash;-Gulam vansh aglaa shasak shamsh uddin eltutmash tha.
jo kutubuddin ebak ka Gulam tha .
eltutmash ne 1211 se 1236 tak 29 saal tak rajya kiya eltutmash ki kaabil ladki thi Razia baigam.jo apne samay ki antim mahila shasak thi jisene Delhi par shasan kiya .
eltutmash apne sabse chhote ladke nasaruddin mehmud ko 1245 me sultan banaya usne 20 saal tak rajya kiya .
lekin.uski puri shakti uskemantri balban ke haatho me thi.
mehmud ki mout ke baad balban ne 1266 se 1287 tak rajya kiya or mehmud ke adhure kaam pure kiye .
khilji vansh .
balban ki mout ke baad saltanat kamjor ho gai or kai bagawate bhi hui yahi vo samay tha jab rajao ne jalaaluddin khlji ko rajgaddi par baithaya . iske baad "khilji vansh" ki s5hapna hui .
is raj vansh ka rajkary 1290 me shuru hua .
alhauddin ne jalaal uddinko maar kar rajya hathiya liya
or 1296 me khud rajya karne laga .allahuddin pehla muslim shasak tha .jiske rajy me pure Barat par par kabza kiya tha .
usne kai ladai ladi jisme jeet pa li thi
uske 20 saal ke rajy me kai baar muglon ne hamla kiya lekin isne kai baar hamla vifal kar diya.
iske pass kafi hasthpusth or shatishali saina thi leki 1316 Ad me iski mout ke baad kilji vansh khatm ho gaya .
tuglak vansh ;-gaysuddin tuglak allahuddin ke samay me punjab ka rajpal tha lekin allahuddin ki mout ke baad 1320 me tuglak vansh ki sthapan ki
isne vargal par vijay prapt ki or bangaal me bagawat ki
mohhamd bin tuglak ne apne pita ka sthan liya or apne rajy ko "madhya asia " taraf badaya .
magol ne hamla kiya or inko bhi haraya.
mohhamad tuglak ne apni rajdhani Delhi se hatakar dev giri banaya .
leki 2 saal baad apni rajdhani Delhi banaya .
ek bade rajya ko virasat me mila .
lekin kabze me nahi rakh saka khas kar bangal par niyantran nahi rakh paaya .
uski mout 1351 ad me hui uske baad uske bahtije firoz tuglak ne uska sthan liya .
lekin firoz tuglak ne sima badaane par dhyan nahi diya .
or apni virasat ka jyada tar hissa praja ke liye kharch kiya
1338 ad me iski mout ke baad tuglak vansh khatm ho gaya
temur ka hamla ;-tuglak vansh ke antim raja ke samay ke douran Shaktishali temur ya temralen ne 1398 A.d. me bharat par hamla kiya .
usne sindhu nadi ko paar kar multan par kabza kar liya or delhi ki or badha .
Delhi ki purani vaibhata laane ke vichar ke sath inhone jonpur shaktishali rajvansh ke sath anek kshetro me jeet haasil ki.
buhlul khan khan ne Gwalior,jounpur , or uttar pradesh me apne rajya ko failaya .
usne sindhu nadi ko paar kar multan par kabza kar liya or delhi ki or badha .
sayid raj vansh;-iske baad khijar khan ne Sayid Rajvansh ki sthapna ki ki Sayid ne 1414 a.d. se 1450a.d. tak rajya kiya .
Sayid rajvansh me antim shasak mohhammad bin farid the.
ye samrajya unki mout ke baad khatm ho gaya .
inko bhi pade
lodhi raj vansh ;- bahlul khan lodhi 1451 se 1489 a.d. vo lodhi rajvanshka pehla shasak tha.
buhlul khan khan ne Gwalior,jounpur , or uttar pradesh me apne rajya ko failaya .
sikandar lodhi;-1489se 1517 a.d. ;-buhlul khan lodhi ke baad unke putra nijaam shah khan raja bana or 1489 me unhe "sikandar shah "ka khtaab mila .
unhone apne apne rajya ko punjaab se bihar tak failaya
ve bahut achhe shasak or kalaa ke rakshak the . unki mout 1517a.d. me hui thi.
ibrahim lodhi .1489se 1517 a.d. .;- ibrahim lodhi ek ayogya shasak siddha hua usne dusre rajao ke sath sakhti se paish aana shuru kar diya .
or kai hindu madiron ko lutne ka abhiyan bhi chalaya .
jiske kaaran dusre rajao ne apne apmaan ka badla lene ke liye kaabool ke shasak baabar ko Bharat par kabza karne ka nimatran bheja ibrahim lodhi ko baabar ki saina ne 1526 a.d. me panipat ke yudh me maar diya iske sath hi bharat me muglo ka rasta saaf ho gaya .
No comments:
Post a Comment