Saturday, 22 September 2018

Forteen point of jinnah जिन्ना के चौदह सूत्र maange

Forteen point of jinnah जिन्ना के चौदह सूत्र  maange.

mohhammad jinnah image
mohhammad jinnah










1928 me rastriya  sammelan  me "nehru  report" ko maan Liya that. 

Nehru Report ke baare  me Muhammad Jinnah ne ye kaha ,ki Nehru  Report ko Hinduo ki or se  Muslim prastavo ka jawab  that. 
Muhammad Jinnah neCongress  prastav ko jisme  Nehru Report ko svikar  kiya gaya that. 





Muslim community  ne apmaan  samjha  or ye nishkarsh nikala , ki Mahatma Gandhi or Congress  se koi  nyaay  nahi  milega. 



Muslim community  ke do guto  me ekta  laane  ke uddesh  se Muhammad Jinnah  ne march1929  me Delhi me league  ki ek baithak  bulai  or Nehru Report ko aswikar  karte hue,apni  14 maange rakhi  ,jobs is  prakar hai. 



1.  Bharat ke savidhan  ko sanghtmak ho or avishisth  rajyo  me Rakha  jaaye  .



2 ) SABHI  rajyo  me samaan Rupert se swayatt  shaman ki sthapna  ki jaye  .

3)sabhi vidhan mandlo  or nikaiyo  ka  pheer se gathan  kiya jaye  ,or alpsankhyak  jaatiyo  ko paryaapt pratinidhitwa diya jaye 


prantiya  vidhanmandalo  me bahusankhayak logo ka bahumat  rahe  or usko  na  ghataya jaye  or na  hi barabari  par laya  jaaye. 

4) kendriya  vidhan  mandalo  me Muslimo ka  ek  tihai yaani  1/3 pratinidhitwa rahe  .




5) sabhi sampradayo ke pratinidhitwa  alag nirvachan sheli  (separate electorate )ke a adhar  par  ho. or yadi  koi  sampraday  chahe  to vo sanyukt  paddati  ko apna  sakta hai.


6) punjab  , bangal or paschimottar  ki simaprant  kof kshetriya  punargathan  is dhang  se kiya jaye  ,ki uske  Muslim is prant  me alpsankhyak  na ho jaye.



7) sabhi dharmik sampradayo  ko purn  adhikar  diya  jaye  ki vo puja ,acharan or prachar prasar  par koi pratibandh  na ho .


8) kisi vidhanmamdal me aise vidheyak na paish kiye jaaye ,jiska sambandh kisi sampraday ke liye  nuksaandayak ho .


yadi kisi sampraday ke 3-4 sadasya vidheyak ke sambandh me sahmati de to bhi usko paish na kiya jaaye.

9)Sindha  ko bambay se alag kar ek swatantra rajya ka darza diya jaaye.


10) uttar paschim seema prant or Baluchhistan  me any rajyo ki tarah  hi  savidhanik  sudhar shuru hona chahiye.


11) dusre Bharatiyoki tarah Musalmaano  ko kushalata ke adhar par sarkari sansthano or swayatshashi nikaayo me noukari karne ka uchit awsar diya jaye.



12)  bhaavi savidhan me   musalaanoke dharm or sanskrati   ,bhasha  or shiksha ka vikas ki samuchit  vyavstha ki jaaye.



13) kendriya or rajyastariya  mantri mandalo me Musalmaano  ko 1/3 ka pratinidhitwa milna chahiye .


14) kendriya sabha  tabhi  savidhan me sanshodhan kar sakti hai ,jab aisa karne me usko Bharatiya sangh ke ghat rajyo se swikrati mil jaaye  



Brief of Jinnah 14 point-

Jinnahne prathak nirvachan (separate electorate)  ke adhar par jor diya  ,or sanyukt  nirvachan par asahmati jatai thi.





Muslim bahut pranto me Musalmaano ko vishesh  pratinidhitwa diya jaye .
Jinnah ki is yojna  par sarvdaliya Muslim congress ne ashmati jatai .
or shafi gut  bhi asahmat tha .
muslim  sampraday ki ye baithak hungame  ke sath ho khatm ho gai 

Jinnah ki ye 14 maange   paishawar ke Jumaiyat -ul -ulma  ne pehle hi swikar kar li thi.
Rastrvadi Musalmaano ke dwara ye sampradaaik nirvachan ko rajnetik  nirvachan ka rup dene ka prayash  asafal kar diya .






No comments:

Post a Comment

interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...