saatvahan ke shasan ke yudh or uska ant shuruat me saatvaahan ke rajya ke samay se hi paschimi kinaare ke ke bandargaaho ,jo us kaal me bharat rom vyapar ke kaaran falfull rahe the.
tak pahuch or paschimi kshatrapo ke rajy me lage hone ke kaaran in dono bharatiy rajyo me yudh ka silsila lagbhag hamesha ke liye chalta raha .
is sanghrash ke baad pehle charan me kshatrap nahpan dwara naasik or paschimi dakkan ke anya ilako par hamle se pata chalta hai.
saatvahan ki rup rakha |
is vansh ke shasak goutamiputra shatkarni ( shasan lagbhag 106-130 e) ne saatvaahano ki shakti ko punrjiveet kiya .
unhone kaafi bade ilaake par vijay prapt ki jo paschimottar me rajsthan se dakshin purva me andhra tak or paschim me gujrat se kaling tak faila hua tha.
150 e se pehale kisi samay kshatrpo ne inme se adhiktar kshetra saatvaahano se vaapis chhin liye the.
or unhe haraya tha .
abhilekh or sikke . abhilekho me jin shasako ka ullekh hai .
saatvaahan ke naam se hai .
pourano me unhe andhra bhratya kah kar bhi pukaara jata hai.
kuch vidwano ne isse arth nikala ki ve andhra jo kabhi kisi dusri shakti ke bhratya or saivak the.
.
anya vidwan is ki vyakhya " andhro ke bhratya " karte the.
matlab saatvaahan shasak pehle andhrvanshiy Rajao ke bhratya the.
pouraano ke praman ke anusaar andhro ke uday ki tithi lagbhag b c 30 kahi ja sakti hai.
pratham saatvaahan shasak simuk tha.
usko shunk or kaanv shakti ka naayak kaha jata hai.
uska shasan kaal e pu pratham shatabdi ka tisra charan kaha gaya hai .
goutamiputra ke baite vashistha putra poolmaavi (130 -159e) ne paschim me shasan kiya unki pravrati purva or purvottar me vistar karne ki thi.
. vashistha putra poolmavi ka abhilekh or dikke andhra me bhi paaye gaye hai.
or shivshree shatkarni (159-166e) ki jankari krisna or goudavari jile me paaye gaye sikko se milti hai .
shree yagya sahtkarni (174
-203e) ke kshetra ke sikke krishna or goudavari jile madhyapradesh ke chanda jile ,barar uttri or sourastra me bhi paaye gaye .
ssatvaahan ka ant |
antim shasak .
shree yagya saatvaahan ke itihas me antim mahatvapurn shasak the.
unhone kshatrapo par vijay prapt ki .lekin unke uttradhikari jinke baare me jaankari vanshavaliyo or sikko se milti hai , ne uski tulna me simeet shasan.kiya baad ki mudra ke jaari hone ke sthaniya swarup or unke paaye jàane wale sthano se saatvaahan vansh ke baad ke vilhnadan ka pata chalta hai.
andhra kshetr pehle ikshvaku vansh ke hatho me or pheer pallav vansh ke paas chala gaya .
paschimi dakkan ke ilaako me nai sthaniya shaktiyon jaise chutu ,abhir or kuru ka uday hua barar kshetra me chouthi shatabdi ke aarambha me vaakatak vansh aprajay raajnitik shakti ke rup me ubhara is kaal tak saatvaahan purnrup se vikhand ho chuka tha.saatvaahano ke uttar adhikaari tisri shatabdi e me saatvaahano ki satta khatm hone par kuchkshetriya shasako ne apne ko swatntra ghoshit kar diya ò
No comments:
Post a Comment