Sandhu ghati ki sabhyata Ka vikash tamra yug pashan yug me hi hua tha.
par samkaalin sabhyatao se iska vikash adhik hua .
is kaal me bharatiya upmahadwip ke uttar paschim me 2500 b c se 1700 b c ke bich ek uchchstariya sabhyata vikasit hui ,
jiski nagar niyojan arngment bahut vikasit hua tha.
logon ko naaliyo or sadakon ke mahatva ka gyan tha.
nagar ke sadak apas me samkoun par kaatate the, jisse nagar aayta kaar tukdon me bant jata tha.
ek sarvjanik bathroom bhi tha .
jo dharm kaaryo me nahaane ke liye banaya gaya tha.
log apas me or mesopotiya or pharas se vyapar bhi karte the.
logon ka vishvash murty puja me tha, ling pujan bhi prashidh tha.
par ye nischit nahi tha .
ki yah hindu sanskrati ka vikashkram tha.
usse milti julti koi alag sabhyata maante hai ,kuch vidvan ise dravid sabhyata mante hai,kuch aarya to kuch koi bhaahr ki jaatiyo ki sabhyata mante hai .
(Sandhu ghati ki sabhyata 3300 b c se 1700 b c tak) ye hadppa sabhyta duniya ki purani nadi ghati ki sabhyatao me se ek mukhya sabhayta thi iska vikash sindu nadi ke kinaare ki ghatiyon me mohanjodadho kaalibanga ,chanhudadho,rangpur ,louthan ,dhoulvira ,rakhgiree,demabaad , sutkngedaar ,surkotada or hadppa me hua tha .
british kaal me hui khudaiyon ke adhar par puratan vibhag or itihaskaaron ke anumaan hai ki ye bahut viksit sabhayta thi
is sabhayata ke shahar anek baar base or ujde hai.
No comments:
Post a Comment