Wednesday, 15 August 2018

purana bharat

             purana  bharat

 bharat ka itihash.
-  bharat    ka itihash  or sanskrati gatimaan hai  ye maanav sabhyata  se shuru hoti hai .




 sindhu ghati- barat  ki sanskrati  sindhu ghati ke  ek rahsya purn sanskrati se shuru hokar  bharat ke  dakshin ke  kisaan samudai tak jati hai .

 bharat ke itihas me  bharat ke aas pas  anek sanskratiyon se logon ka sanpark hota hai   .



bharat or dhatue- upalbdh saboot baate hai ki  loha tamba  or anya  dhatuo ka upyog  shuru se hi  bhartiya upmaha dwip  me prashidha hai   .
jo duniya  is hisse dwara banai gai   pragtee ke sanket hai   .
chhothi sahsrabdi  bisi ke ant tak bharat  ek atyant viksit  sanskrati ke rup me  ubhar chuka tha.
  hadppa  sabhyata ke 1500 year ke lambe antral me   upmahadwip   ke alag alag bhagon me  kai prakar ke vikash karya  kiye.




yahi  vo kaal tha ,jab sindhu nadi or  iski upnadi ke kinaare rahne walo nr  srangvaid  ko likha .
uttar bharat   dakkan  pathar  kshetra  or karnatak  jaise upmahadwip  ke ksheyron me  kisaan bastiya  bhi astitva me aai.
 sath hi  dakkan or dakshin  bharat ke charwaha basti ke bhi saboot mile hai  .



issa purv pehli sahsrabdi  ke douran  madhya or dakshin bahrat me  laasho ke antim sanskar ke naye tarike  bhi saamne aaye   .
jinme mahaoashan yug ke patharon ke dhanche mile hai  .
kai jagaho par paya gaya ki lashon ke sath hathiyaar  bhi dafnaye gaye .



issa purv ki chhati sahsrabdi  se naye parivaratan ke saboot mile hai   shayad inme sabse jyada  mukhar  shuruati  rajyo  , samarajyo or  rajvadon ka vikash  hai .
 in rajniti prakriya  ke pichhe kuch  anya parivartan bhi the.
 inka pata  krashi upaj sangrah karne  ke tariko se  chalta hai  isike sath hi  lagbhag pure upmahadwip me  naye nagaro ka uday hua   itihaaskaar  isi vilash ka akalan   karne ke liye  abhilekho , grantho, sikko   or photo ka adhyayan karte hai

No comments:

Post a Comment

interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...