Friday, 28 September 2018

dhara 497 band hone ke nuksaan or faayde Adultery Law in Hindi: पति, पत्नी और वो: नाजायज रिश्तों को अपराध ...

dhara 497 band hone ke nuksaan  or faayde:-



ye articale History ke baare me nahi hai .aj kuchh baate aapse share karunga jisko apko apni kasoti  par dekhna .


vybharik faisla image






or apko lage mera ye mat sahi hai to apko share karna hai .

is Dhara 497 ke band hone se  ke fayde or nuksàan bhi admi or ourat ke hissab se hai .

pehle hum iske fayde dekhte hai .
1) is dhara ke band hone se  pehla fayda ye hoga ki  jis kisi insaan ka ghar nahi basa hai vo bas jayega .


2) har insaan ko apna man pasand partener milega .



3) is ke band hone  se jo insaan apne life partner se nakhush  hai to badal sakte hai .
or khush rah sakte hai .

4) sabko azadi mil jayegi ..

 bas mere hisab se itne hi fayde milenge .



aiye ab nuksaan ko dekhte hai .



1) iske band hone se divorce jyada hone .




2)  log apne  life  partner par wishwash nahi karnge .



3) iske band hone se desh me morder jyada honge .

4) is Dhara ke band hone se marrige sirf ek contract ban jayega .


5) isse  Hindu dharm ka siddhant khatre me pad jayega .

6) is ke band hone se Bharat ki pavitrata  khatm hone lagegi .

7 ) log apne partner se vafadari karna band kar denge .

to dekha apne is Dhara 497  ke band hone se kya fayde honge or nuksaan   ab app hi faisala kare apko kya chahiye .
 .


mujhe lagta hai isme fayda kam or nuksaan jyada hai  to suprime court ko ye faisla vaapas lena chahiye  
  
ab baki jo desh chahega  vahi hoga   

doston ye mera sirf anmaan hai  .  


apko is post ko lekar jo bhi ray hai comment kare   .



or is post ko adhar bana kar koi bakheda khada na kare .


Monday, 24 September 2018

mahatma gandhi ki 11 maange ,11Demand by gandhi

mahatma gandhi ki
 11 maange  ,11Demand by gandhi .

mahatma gadhi image
mahatma gandhi






mahatma gandhi ne hinsatmak gatna chori choura naamak jagah pr Andolan kariyo ne 1 thanedar or 11 sipahiyo  ko jalankar maarne ke baad  apna Asahyog Andolan rok diya .

kyoki ve ahinsa ke paksha me the . Asahyog Andolan  ki asaflata ke baad  

mahatma gandhi ji ne 11 february1930 ko savinay avgya Andolan laana chahte the,

lekin sthitee ko dekhte hue ,sarkar se ek samjhota karne ki koshish ki .
unhone  lord vaisaray irwin ko  ek patra likha jisme 11 mange Rakhi .

mahatma gandhi ki 11mannge :-

1) puri tarah se sharab band (total prohibition) 


2)vinimay ki dar ghatakar  ek silling 4 pais kar di jaaye .(Exchange Rate should Reduced) 


4) bhumi lagaan  adha ho or us  par counsling ka niyojan rahe .( land Rates be helved ) .


5) namak kar  khatm ho .(salt tax shouldbe abolished ).


6) saina ka kharch 50% kam ho.(Defance expenditure should be Reduced by 50% .)


6) badi noukriyo ka vaitan adha  ho .(salaries of  tip govt. posts hshould  be helved 7) videshi shastro ko Bharat na laaye .(inport of foriegn textile  be banned ) .



8) Bharatiya samudriya tath keval Bharatiy jahajo ke liye  surakshit rahe or is par kaanun bhi bane .(Indiansea  coast should be Reserved  for Indian ship only) .


9)  sabhi rajnetik  bandityo ko chhod diya jaaye or .,rajnetik mamale khatm kiye jaaye or nirvasit Bharatiyo ko apne desh aane diya jaaye .( all  political prisons  should be Released  and thier political  cases  should be  dropped) 



10) gupt char police hataliye jaaye ya us par janta ka niyantran ho.(secret police be either  obolished  or placed under the public.) 



11)  AtmRaksha ke liye hathiyaar uthane ki anumati di jaaye .(Arms for self protectin be  permitted .) 






mahatma gandhi ki in 11 maango (eleven  demands by mahatma gandhi par lard irwin ne dhayan nahi diya ,jisse unke man nirash ho gaya or Dandhi yatra  ke sath  savinay avagya Anolan chalaya 



read mor






Birsa munda andolan birsa munda movement un hindi

Birsa munda andolan .

1857 ke baad mundao ne sardar  andolan chalaya  . jo ek shant andolan tha. jisse adivashiyo ki sthitee me koi badlav nahi aaya .

Buesamund image
Birsa munda







Mundao ne agami Andolan ko ugra rup dene ka faisala kiya.
sardar Andolan ke thik viprit  Birsa munda Andolan  ugra or hinsak tha .
is andolan ke naita Birsa munda ek padhe likhe naita the.
ye Andolan  anek uddeshya ke liye chalaya tha ..







is Andolan ko mix Andolan bhi kahte hai.


kyoki isme  arthik rajnetik  badalaav or dharmik  purnutthan jaise kai mudde the.





Birsa muda Andolan ka arthik uddeshya :-  Birsa munda Andolan arthik uddeshya tha ,ki  diku jamidaaro (GAIR ADIWASI JAMIDAR) ne jo jamin kabze me ki thi usko vaapas lena .




adiwasi lambe waqt se is ke liye sangharsh kar rahe the.

or inko angreji sarkar se kisi baat ki ummid nahi thi .

isliye agreji shasan or Munda raj ko sthapit karne ka faisala liya .


Birsa munda ne ek naye dharn ka sahara lekar mundao ko ek kiya .
mundo ne 1899-1900 me vidroh kiya .



Birsa munda ki bhumika :- Birsa munda ne adiwasiyo ki khasta haalat dekhkar ,janindaro  or thaikedaro ke atyacharo  se mukti dilana  chahte the.


Birsa munda jaante the  ,ki shanti se koi kaam nahi hoga .isliye is Andolan ko ugra banane ke liye adhik se adhik navayuvko  ko sammalit kiya .



Birsa munda ne ye ghushna kar di, ki koi sarkaar ko tex nahi dega .


Mundao unki baat maan li .



Birsa munda ki girftaari :- Birsa munda mo vidroh failane je jurm me 1895 ko girftaar kar liya .

unko 2 saal ki kaid hui .
iske baad jab vo chhut kar bahar aaye  tab or bhi ursaah je sath ,yuvao ki is Andolan ke liye uksaya . apni sabhae janglo ne chhipkar karne lage ,or sabhi ko is Andolan me bhad laune ko kaha .

is Andolan  me kai begunah ki mout hui  ,jo ki sarkari noukar the.





Andolan ka patan:- 1899 me crismus ka din  mundao ne  hinsak virdoh kiya sabse pehle jo munda isaai bane the or jo sarkari kaan karte the.unko maarne ka praayas kiya ,lekin baad me is nitee me badlav kiya gaya .




or unko chhodkar isai
 mashnriyo ke virudh awaj uthai .

Ranchi or singhbhum me anek charch me adiwasiyo ne hamle kiye ,or police Mundao ke krodh  ka vishesh shikar bani .

parshan sarkar ne police or army ki madad or mundao ne chhapamar yudh ka sahara lekar police or army ka samna kiya .


lekin banduk ka mukabla teer kaba tak karti .
feb. 1900 me Birsa munda ko pheer se girftaar kar liya .
 un pr rajdroh  ka ilzam lagakar  mukadma chalaya .

is douran unko haija ho gaya or 9 june 1900 ko unki mout ho gai  .
parinaam:- Birsa munda  ki mout kr baad Andolankamjor pad gaya Birsa munda ke 3  sahyogi ko phansi  ki saza hui .
anek mundao ko jail bhej diya .
 iske baad Andolan vifal ho gaya  .


lekin baad me sarkar ko is topic par sochne ke liye  majboor hona pada  .
or aduwasiyo ki jamin ka sarvey kiya gaya  .



1908 me hi chhota nag pur kastkaari kaanun (chhota nagpur tenancy act 1908) parit hua  or mundao ko jamin sambandhi kqi adhikar mile  .




munda samuday  Birsa munda Bhagwan maante the.


Saturday, 22 September 2018

Forteen point of jinnah जिन्ना के चौदह सूत्र maange

Forteen point of jinnah जिन्ना के चौदह सूत्र  maange.

mohhammad jinnah image
mohhammad jinnah










1928 me rastriya  sammelan  me "nehru  report" ko maan Liya that. 

Nehru Report ke baare  me Muhammad Jinnah ne ye kaha ,ki Nehru  Report ko Hinduo ki or se  Muslim prastavo ka jawab  that. 
Muhammad Jinnah neCongress  prastav ko jisme  Nehru Report ko svikar  kiya gaya that. 





Muslim community  ne apmaan  samjha  or ye nishkarsh nikala , ki Mahatma Gandhi or Congress  se koi  nyaay  nahi  milega. 



Muslim community  ke do guto  me ekta  laane  ke uddesh  se Muhammad Jinnah  ne march1929  me Delhi me league  ki ek baithak  bulai  or Nehru Report ko aswikar  karte hue,apni  14 maange rakhi  ,jobs is  prakar hai. 



1.  Bharat ke savidhan  ko sanghtmak ho or avishisth  rajyo  me Rakha  jaaye  .



2 ) SABHI  rajyo  me samaan Rupert se swayatt  shaman ki sthapna  ki jaye  .

3)sabhi vidhan mandlo  or nikaiyo  ka  pheer se gathan  kiya jaye  ,or alpsankhyak  jaatiyo  ko paryaapt pratinidhitwa diya jaye 


prantiya  vidhanmandalo  me bahusankhayak logo ka bahumat  rahe  or usko  na  ghataya jaye  or na  hi barabari  par laya  jaaye. 

4) kendriya  vidhan  mandalo  me Muslimo ka  ek  tihai yaani  1/3 pratinidhitwa rahe  .




5) sabhi sampradayo ke pratinidhitwa  alag nirvachan sheli  (separate electorate )ke a adhar  par  ho. or yadi  koi  sampraday  chahe  to vo sanyukt  paddati  ko apna  sakta hai.


6) punjab  , bangal or paschimottar  ki simaprant  kof kshetriya  punargathan  is dhang  se kiya jaye  ,ki uske  Muslim is prant  me alpsankhyak  na ho jaye.



7) sabhi dharmik sampradayo  ko purn  adhikar  diya  jaye  ki vo puja ,acharan or prachar prasar  par koi pratibandh  na ho .


8) kisi vidhanmamdal me aise vidheyak na paish kiye jaaye ,jiska sambandh kisi sampraday ke liye  nuksaandayak ho .


yadi kisi sampraday ke 3-4 sadasya vidheyak ke sambandh me sahmati de to bhi usko paish na kiya jaaye.

9)Sindha  ko bambay se alag kar ek swatantra rajya ka darza diya jaaye.


10) uttar paschim seema prant or Baluchhistan  me any rajyo ki tarah  hi  savidhanik  sudhar shuru hona chahiye.


11) dusre Bharatiyoki tarah Musalmaano  ko kushalata ke adhar par sarkari sansthano or swayatshashi nikaayo me noukari karne ka uchit awsar diya jaye.



12)  bhaavi savidhan me   musalaanoke dharm or sanskrati   ,bhasha  or shiksha ka vikas ki samuchit  vyavstha ki jaaye.



13) kendriya or rajyastariya  mantri mandalo me Musalmaano  ko 1/3 ka pratinidhitwa milna chahiye .


14) kendriya sabha  tabhi  savidhan me sanshodhan kar sakti hai ,jab aisa karne me usko Bharatiya sangh ke ghat rajyo se swikrati mil jaaye  



Brief of Jinnah 14 point-

Jinnahne prathak nirvachan (separate electorate)  ke adhar par jor diya  ,or sanyukt  nirvachan par asahmati jatai thi.





Muslim bahut pranto me Musalmaano ko vishesh  pratinidhitwa diya jaye .
Jinnah ki is yojna  par sarvdaliya Muslim congress ne ashmati jatai .
or shafi gut  bhi asahmat tha .
muslim  sampraday ki ye baithak hungame  ke sath ho khatm ho gai 

Jinnah ki ye 14 maange   paishawar ke Jumaiyat -ul -ulma  ne pehle hi swikar kar li thi.
Rastrvadi Musalmaano ke dwara ye sampradaaik nirvachan ko rajnetik  nirvachan ka rup dene ka prayash  asafal kar diya .






राजगोपालाचारी फार्मूला ,Congress or Rajgopalchari ka formula

Congress  or Rajgopalchari ka formula 

c Rajgopalchari image
c Rajgopalchari 






dviraster siddhant or Britisho  se Bharat  ki swatntrata ko lekar  Muslim community   or Congress  ke  alag  alag vicharo  se bahut  matbhed  ho gaye the.



in dono  ke matbhedo  ko khatm karne ke liye  Rajgopalchari formula  laya  gaya  .
C Rajgopalchari, jo  ki  Congress ke  mahatvapurn  rajya naita  the .
ne  Muslim lig or Congress ke bich rajnitik  gatirodh ko  door  karne  ke liye  ek Formula taiyaar  kiya .
ye Formula , jisko Mahatma  Gandhi ka samrthan  that.
vastav  Muslim community  ki Pakistan  ki maang  ki moun   svikrati thi.





1) Muslim lig  Congress  ki swatntrata ki maang  ka  samrthan  kare.

2)Muslim community Congress ko kendra  me asthai  sarkar  ke gathan  me  sahyog  kare .

4) yudh ke khatm hone ke  baad  ek  aayog  gathit  kiya jayega  , jo ki un  jilo  ki pahchan  karega  .
jaha  Muslim  ka saaf  bahumat  hai, or in kshetro ko (gair Muslim ko shamil kar) me ye  janane  ke liye, ki ve  alag samprabhut rajya  chahte  hai  ya  nahi  .
vayask  matadhikar par  chunav  kiye  jayenge.




4) sabhi  dalo  ko  chunav ya matdan  se purva  vibhajan  ke sambandh  me apne  vichar  ko batane  ki anumati  hai.


5) vibhajan ke prastav  ko maan  Liya jayega, to Raksha, vanijya, or sanchar aadi  vishiyo  ko lekar  ek sanyukt  samjhota kiya jayega  .


6) ye  sabhi sharte  tab laagu  hogi  tab England  sampurn  satta  Bharat  ko  de.


Dosto  ye  sabhi  sharton ka mukhya  siddhant  Muslim community  or Congress ke alag alag vicharo or matbhedo  ko door karne ka ek  prayash  that. 




Dosto kaise lagi  ye  jankati   mujhe jarur  batane ki kripa  kare 

interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...