Saturday, 22 September 2018

राजगोपालाचारी फार्मूला ,Congress or Rajgopalchari ka formula

Congress  or Rajgopalchari ka formula 

c Rajgopalchari image
c Rajgopalchari 






dviraster siddhant or Britisho  se Bharat  ki swatntrata ko lekar  Muslim community   or Congress  ke  alag  alag vicharo  se bahut  matbhed  ho gaye the.



in dono  ke matbhedo  ko khatm karne ke liye  Rajgopalchari formula  laya  gaya  .
C Rajgopalchari, jo  ki  Congress ke  mahatvapurn  rajya naita  the .
ne  Muslim lig or Congress ke bich rajnitik  gatirodh ko  door  karne  ke liye  ek Formula taiyaar  kiya .
ye Formula , jisko Mahatma  Gandhi ka samrthan  that.
vastav  Muslim community  ki Pakistan  ki maang  ki moun   svikrati thi.





1) Muslim lig  Congress  ki swatntrata ki maang  ka  samrthan  kare.

2)Muslim community Congress ko kendra  me asthai  sarkar  ke gathan  me  sahyog  kare .

4) yudh ke khatm hone ke  baad  ek  aayog  gathit  kiya jayega  , jo ki un  jilo  ki pahchan  karega  .
jaha  Muslim  ka saaf  bahumat  hai, or in kshetro ko (gair Muslim ko shamil kar) me ye  janane  ke liye, ki ve  alag samprabhut rajya  chahte  hai  ya  nahi  .
vayask  matadhikar par  chunav  kiye  jayenge.




4) sabhi  dalo  ko  chunav ya matdan  se purva  vibhajan  ke sambandh  me apne  vichar  ko batane  ki anumati  hai.


5) vibhajan ke prastav  ko maan  Liya jayega, to Raksha, vanijya, or sanchar aadi  vishiyo  ko lekar  ek sanyukt  samjhota kiya jayega  .


6) ye  sabhi sharte  tab laagu  hogi  tab England  sampurn  satta  Bharat  ko  de.


Dosto  ye  sabhi  sharton ka mukhya  siddhant  Muslim community  or Congress ke alag alag vicharo or matbhedo  ko door karne ka ek  prayash  that. 




Dosto kaise lagi  ye  jankati   mujhe jarur  batane ki kripa  kare 

Friday, 21 September 2018

Shivaji ke uttradhikari ,or maratha vans ke raja

Shivaji ke uttradhikari  ,or maratha vans ke raja .

maratha samrajy image
maratha samrajy





Maratha samrajy ya maratha sangh ,jo aj ke samay me  dakshin Bharat ke paschim bhag me hai .

i n logo ne 1675-1818  tak rajy kiya  or apne rajy ko failaya .

Maratha samrajy  ke sansthapak   shivaji maharaj the.

 jinhone is rajy ko sangathit rup diya  .
lekin  peshava (rajy ke pradhan mantri )  ke adhin is rajya ka tezi se vistar hua  .
more  ghatage or ninbalkar sabse adhik prabhavshali Maratha parivar the.



shambha ji majaraj 1680 -1689 -1 ):- ye Shivaji ke chhote putra the .
jo apne bade bhai rajaram ke virudh uttradhikari ke yudh me jeet kar raja bane .
2) inhone rajput -Maratha sandhi kon rokne ke liye or dakkan saltanat se apne purane sambandh pheer se jodne keliye  apne pitaShivaji ki vistarwadi nitiyo ko pheer se shuru kiya .
3)1632 me mughal shasak ourangjaib ne apne vidrohi putra shahzada akbar ka ka picha karte hue dakshin Bharat  aa gaya .
Shabha ji ne Shahjazada akbar ko sharan di thi .

iske kaaran ourangjaib ne inki hatya kar di.



rajaram 1689-1700 :-Shambha ji maharaj ki mout ke baad Shivaji maharaj ke dusre putr Rajaram ne shasan sambhala or Maratho ki parampra ko aage badhaya .
2) usne maratho ki vistar niti ko jaari rakha ,or Dakkan ke mughal kshetro  par hamala karne ki nai parmpar shuru ki .
3) actober 1689 me julfikar khan netratva me Mughal saina ne Raigad par hamla kar diya or Shmbha ji maharaj ke pure pariwar ko kaid kar liya jismeunke putra shahu bhi the .
4) 1700 me Satara jo ki jinji ke patan ke baad Maratho  ki rajdhani thi  ,
me jnki mout hui .


Shivaji 2 or tarabai 1700-1707 :-Rajaram ki mout ke baad uski vidhva tarabai ne apne putra Shivaji2 ko gaddi par baithaya or khud uski  sanrakshak ban gai .
usne naagrik or sainy  dono ke sandharbh me sankat ke samay  me apne rajy ko sthir  rakha .
2)Mughlone  chitpawan brahman  balaji vishwnath ke sahyog se Tarabai ko gaddi se utar diya .


Is ko bhi read



Shahu maharaj 1707-1749 :-
Mughal shasak bahadurshah ne Shahu ko kaid se chhod diya .
jiske kaaran Tarabai or Shahu ke madhya rajy ke liye  jhagda shuru ho gaya.
Shahu ne "kheda yudh "(13 actober1707 )  me Tarabai ko hara diya or satara par kabza kar liya 2)uske shasankaal me hi paishwa shakti ka uday hua  or Maratha rajy ke Maratha sangh me badlne ki prakriya shuru hui uske shasankaal me Maratha do bhafo me bat gaya  ,jo  ki  Tarabaike adhikar me  koulhapur .or Shahu ke adhikar me satara tha .



in dono shaktiyo ke madhya dushmani 1731 me varna sandhi ke douran khatm hui 

Chhatrapati shivaji or unka rajya ,छत्रपति शिवाजी का इतिहास


Chhatrapati shivaji  or unka  rajya ,छत्रपति शिवाजी का इतिहास

Shivaji  maharaja Ek veer saahasi or kartavyaparayan insaan  the unkI virta ka  sabre loha mana tha .


shivahi maharaj image
chhatrapati shuvaji 







 Aaie aj hum  unke bare me janane ka pray ash karenege. 
Shivaji  ka jivan parchay - 16 sadi ke shuruati saalo me Bhosle parivar  ek sthaniya nIwasI hone ka fatwa uthate  hue ahmadnagar  ke rajy sainik or rajniteek  labh kiye to ek nai ladaku jaati ki shuruat hui jisko "maratha "kaha gaya .
in logo ne kai marathao ko sainki or sardaro ke rup me bharti kiye .
Shivaji  bhosle or jijabai ke putra the.
Shivaji ka janm 19 feb 1630 b.c me shivneri  ke durg me hua tha .





Shivaji ki parvarish  pune me  unki maa or ek yogy brahman  or dadaji kounddev  ki dekhrekh  me hua  .
dada kound dev ne Shivaji ko ek anubhavi yodha or saksham shasak banaya .



Shivaji
guru ramdas  ji ke dhamrk  prabhav me bhi rahe .



Shivaji ke jivan ki mukhya ghattnaye -




touran vijay-ye maratha ke rup me Shivaji sabse pehla kila tha,jis par kabza kiya tha.
jisko 16 saal ki umra me apne saahas se or apne parakram  se jita tha.

is jit ne unko raygad or pratapgad ko jitne ka housla diya.

read more



Shivaji ki in jit  se pareshan hokar  Bijapurke sultan ne unke pitaji Shah ji  ko kaid kar liya .


1659  ko jab Shivaji ne pheer se bijapur par hamla kiya to Bijapur ke sultan  ne apne sainapati Afzal khan ko Shivaji ko pakdne bhija ,lekin vi bhagne me safal ho gaye .unhone Afzal khan ko apne "bhaghnakh (sher ka panja) naam ke hathiyar se  maar diya .


akhir me Bijapur ke sultan ne Shivaji ke sath shanti samjhota kar liya ,or Shivaji ke jite hue rajy ko swatntra ghoshit kiya .




koudana kile ki jeet -

ye kila  neelkanth rao ke niyantran me tha .
jisko jitne  ke liye maratha shasak Shivaji ke sainapati tanaji maalsure or jaisingh ke adhin  kiledar udaya bhan rathore ke bich yudh hua .



Shivaji maharaj  ka rajya abhishek- 
1674 me raigad me Shivaji ne khud ko marahta  rajya ks raja ghoshit kar diya .
or chhatrapati ki upadhi grahan ki .
unka rajyabhishek  mughal samrajy ke liye ek chunoti ban gaya .

rqjyabhishek ke baad unhone nav nirmit Hindvi swarjyke  shasak ke rup me Hendv dharm uddarak (hindu astha  ka santakshak ) ki upadhi  grahan ki  .
is rajyabhshek ke baad Shivaji  ko bhu rajasva   pr logo par kat lagane ka adhikar  mil gaya .

goulkund ke kutubshahi  shasako ki sandhi- 
is sandhi ke sahyog se unhone Bijapur ,karnatak  (1676-79) par chadhai ki .


jinji , villore  or karnatak ke kai kile jit liye .


Shivaji ka shasan -
shivaji ka shasan dakkan ke shasan se prabhavit tha .
unhone 8  mantriyo ko niyukt kiya jo usko rajy ke karyo me salaah dete the.


peshva-
sabse pramukh pradhan mantri  ,jo vittiy or saamany shasan ki dekhrekh karte the.



sainapati-
saina ki bharti or rasad ki dekhbhal karte the.



majum adar-
aay or kharch ka hisab rakhte the.

vakiya navish -
asuchna or ghrahkary ki dekhrekh karte the.

shur navish-
raja ke rajkiy patra kary me sahyog dete the .


dabeer-
raja ke videsh karyo me sahyog dete the.

nyaaydhish or panditrao-nyaay or dharmarth anudano me pramukh the 







usne bhumi pe  bhu rajasva ek choutahi lagaya jisko chouth ya chouthai kaha jata  tha.

Shivaji ne khud ko ek safal raja ke rup me  ek safal raj naita  ke rup me  sahi saabit kiya  .

3 saptah ki bimari ke baad unki mout 13 april 1680 me  rayagad me hui  thi 

Sunday, 16 September 2018

anant chatudashi ki kstha ,अनंत चतुर्दशी व्रत विधि एवं कथा हिंदी में- Anant Chaturdashi in

anant chatudashi  ki kstha  ,the story of anant chaturdashi

anant chaturdashi ka festival  "Hundu dharm me ek  khas ahmiyat rakhata hai.

anant chaturdashi image






mahar aj main  Anant Chaturdashi ki katha bataunga  .

iske vrat ke douran sunai jaati hai .

Anant chaturdashi ek maahaan vrat rupi Festival jo ki humaare paap ko kam karta hai Hindu dharm ke anusaar , jo iska vrat  karta hai vo sukh suvudha se sampanna ho jata hai  .


ji haa dosto main apko iski katha batata hu.



Katha is prkaar hai 



kissa Mahabharat ka hai .
ek baar  Majaraj yudhistir ne ek yagya kiya jiska naam tha rajsury yagy us samay  yagay ka jo mandap yaani yagy ka sathan or raj mahal is tarah sajaya gayaa jisse koi bhi insaan asaani se dhokha kha jaaye .



Mahal ki sajaawat - is mahal ki sajaawat is tarah se ki gai thi  


jsse jameen or paani me koi fark nahi jaan padta tha.


is sajawat me  aise taalab baanye gaye  jo ek dum jameen ke jaise dikhte the .

or jaameen par kuchh is yarah se  ki kaali  bichhi thi jo ki hu bahu paani ki jaisi dikhti thi.



Duryodhan ka apmaan-
is yagy me Duryodhan bhi shamil hua .
achanak Duryodhanbhraman karne nikal gaya .

gumte gumte is bhul bulaiya me fas gaya or ek jameen rupi taalab me gir gaya .




tab pandavo ki patni Dropati ne dekh liya or has kar ek baat kahi " andhe ka putra adha "kah kar uska majaak udhaya .




ye baat Duryodhan ko buri lag gai .
or usne badla lene ka faisla kiya .


usne badla lene ke liye pamdavo ko jua khelne bulaya jisko dyut bhi kahte hai .



us khel me pandav apna sab kuchh haar gaye .



dosto yaha tak to sabhi ko yaad hai.
ab aage suno 
is karari haar ke baad kiuchh sharto  ke saath pandavo ko daas le pad se chhoda gaya  usme 12 saal ka vanwas  or 1 saal ka agyat was tha .





lekin pandavo ko van me bhi kaafi taklif hui.


Bhagwan shree krishna ka pandavo se milna -
ek din shree krishna  pandavo se van me mile  ,tabyudhisthir ne apne dukh Shree krishna ke saamne kaha  .


tab shree krishna ne kahaa .
hy yudhisthir tum  vidhi puravak Anant chaturdashi ka vrat karo jisse Bhagwan Anant tumhara dukh door kar denge .


uske baad Bhagwan shree krishna ne unko Katha sunaai 



Shree krishna bole-
satyug me sumantu naamak ek muni the .
unki ek putri thi jiska naam tha susheela .
vo jitni sundar thi utnee hi gunwan vhi thi.





sumant muni ne uska vivah kondinya muni se kar diya .



jab kondinya muni  apni patni ke sath ghar aa rahe the.
 tab raste me unko raste me kuch striya  puja karte hui dikhi , tab  susheela ne pass jakar  us pujha or uske mahatva ko jaan liya  or unke sath  Bgagwan Anant ka pujan kiya or 
Anant sutra bandh liya 




kuchh din baad unka ghar dhan se bhar gaya .

ek din koundinya muni ne us Anant sutr ko dekh liya or ,apni patni  ko bhala bura kahne laga  .



or us Anant sutra ke baare me kahne laga lagaki ye koi  vashikaran sutra hai ,usne sone pati ko vash me karne ke liye bandh rakha hai  .



susheela ne samjhane ki koshis ki magar apne ghamant me koundiny muni ne ansuna kar us sutra ko todkar jala diya .





kuchh dino baas unki sampati nast ho gai .
or  rastey par aa gaye .


tab koundinya muni ne apne paap ka prayschit karne ka faisla kar van me Bagwan Anant ko dhundhme chale gaye .







bahit dundha magar unko  Bhagwan nahi mile .

  vo aane jaane walo se bhi puchhte  magar unko Bhagwan Anant kahi nahi mile .




ab akhir me koundinya muni ne apni jaan daine ka faisla kiya .



jaise vo jaan dene ko taiyaar hue  , tabhi ek buddhe brahman ne unko aisa karne se roka , or ek gufa me le gaye .


jaha Bhagwan  apne chaturbhuj rup me the .

tab Bhagwan ne koundinya muni se kaha .



tumne Anant sutra ka apmaan kiya hai ye sab uska parinaam hai .




or agar tum iska  prayschit karna chahte ho to  tuko 14 saal tak  lagataar anant vrat karna hoga  jisse tumhaari khoi hui doulat bhi tumko mil jayegi .


koundinya muni ne unki aagya maan li or 14 saal tak us vrat ka dharm purvak paalan kiya .


or apni khoi sampati vaapas paa li .





shree krishna Bhgwan bole ,-hy yudhusthir insaan apne hi karmo ke hisaab se  apna parinaam bhogta hai.

 fir shree krishna us vrat ki vidhi  batakar  vaha se chale gaye .





is vrat ko karke pandav  ne Kurukshetra ke yudh me jit haasul kar apna rajya vaapis paa liya 








matra - anant saagar mahasamudrmgna nsam bhyudhdar  vaasedev .
anant rupe viniyojit  mahanantrupay namo namstey

Thursday, 13 September 2018

adhunik bharat or british samrajyआधुनिक भारत का इतिहास -History of the British Raj

Adhunik Bharat  or  british samrajy-

purane samay me   puri duniya ke log Bharat  aana chahte the. 

yaha aary varg ke log  Madhya urop  se aaye  the ,Bharat me hi bas gaye .

unke baad changejkhan ek mangoliyaai tha.
jisne kai baar Bharat par hamle kiye  ,or lutpat kar chala gaya.

Alexander mahan  bhi Bharat ko jitne ke liye aaya ,lekin pouras ke yudh me haarkar chala gaya ,Hvengsaang ek chini yaha gyan ki talaash me yaha aaya ,or usne naalnda or takshashila vishvavidhyalay me bhraman kiya  ,jo prachin Bharatiya vishvavidhyalay hai.


adhunik bharat image
text adhunik bharat and british shasan




koulambaus   Bharat aana chahta tha lekin usne America ki seema me hi utarana pasand kiya .



purtgaal  se vaaskodigama yaha vyapar karne apne desh ki vastue lekar yaha par aaya ,jo yaha ke masaale apne desh le jana chahta tha.
yaha fraoncecy  log bhi aaye or Bharat me apni coloniya  banai .


ant me British log aaye unhone  lagbhag 200 saal tak yaha raaj kiya.
saal 1757 me plasi ke yudh ke baad British  jano ne Bharat pr rajnitik  adhikar kar liya ,or unka prabhutva Lard dalhogi ke karykaal me sthapit ho gaya ,jo 1848 me governor  janral bane .


unhone  punjaab ,peshawar or Bhrat ke uttar paschim se pathan janjaatiyo ko sanyukt kiya .





or saal 1856 tak British  adhikar or unke pradhikari  yaha puri majbuti se sthapit ho gaya  ,lekin British samrajy  me 19th shatabdi ke madhya apne nai uchchaiya  haasil ki.





 asantusht  sthaniy  shasako  majduro  or buddhijiveeyo  or saamany insaano ne sainiko ki tarah awaj uthai ,jo ki  un vibhinna  rajyo ki sainao ke khatm ho jaane se bairojgaar ho gaye the.



jinhe British jano ne sanyukt kiya tha.

or ye asantosh  badta gaya  or jald hi bagawat ka rup le liya .


jse 1857 ki kranti kaa naam mila




dosto ye articale   British samrajy ke baare me hai jisme ye bataya hai ki ye kis tarah vistarit hua .





interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...