Wednesday 10 October 2018

Gujrat main hungama kiski mansikta hai

Gujrat main hungama  kiski mansikta hai

 




Yu to aj ke samay me desh ke har hisse me balatkaar ho rahe hai  . 







Lekin gujrat me jo hua  . Yaani gair gujratiyo  ko gujrat se baahar karne kaa  sach me kabil e taarif hai.




Gujrat ke is dange se agar desh ki baki state  kuchh sikhna chahe  to ek hi baat hai   ki Balatkar ek apradh hai or rahega  .  Or kahi par bhi Balatkar jaisi  ghatna na hone de.




Or is samay gujrat jo ghatna ho rahi hai  .swabhavik   hai is ghatna par raj naita apni vote bank bharne ki koshish karnge .






Main meri khud ki baat karu to main Gujrat ki janta se sahmat hu .
Un logo ne jo kiya vo thik kiya  .
Chalo kisi ne to awaz uthai  jo mombattiyo uthkar  desh me haunchul faila di  





Jisse mansikta me badlav aayega  kam se kam Gujrat me to Balatkar  nahi honge  .





Is desh me balatkar   ek amar bail jaisi fail gai  isko khatm karne ka ek hi rasta hai  .us ped ko hi kaat do jispar ye amar bail hai .



Tab hi rukenge Balatkar  or Gujrat ke logo ne vahi kiya .
 .


Ab baat ye hai ye kiski maansikta hai .




Mere hisaab se ye Gujrat me jo hua ,vo Gujratiyo  kaa jo Gujrat ke liye prem hai.  Jo samman hai ,  Gujrat ki jo betiya hai unke prati nishthawan hona  isnki deshbhakti ka pratik hai.




Or is ghtana se gujrat ka sir garv se utha hua hona chaiye  .
Ki  Gujrat ke logo ne sandeah diya hai   .





Desh ka samman tabhi nich soch ke log  apni soch badal  de 



Vaise bhi ye desh rap ke maamle kaafi badnaam ho chuka hai    .




Lekin ab gandi soch rakhnewalo ki soch par  ankush rahega .





Sach to ye Gujrat me jo hua .
Wo unke liye dharmyudh hai.


Unki betiyo ke prati unka kartavya hai jo   kisi bhi apdravayo ko  unke pass tak na

Sunday 30 September 2018

Boston ki chai party ki ghatna What is the Boston Tea Party summary?

Boston ki chai party ki ghatna 


boston tea party  image
boston tea party 











British sansad ke chhai ke vyapaar ke sambandh me naya banaya tha .




is kaanun ke anusaar Ishth India compney ko America chai bhejne ko kaha gaya ,Chai ke vyapar ko badane ke liye   uske mulya me kami  ki gai .

fal swarup America me chai sastee milne lagi  thi.

East India company ko bhi labh  ho jaha that. 
lekin American  logo ne is ko  British  ki chal samjha  .
in logo ne socha ki yadi sansad vyaparik maamlo me adhikar  banana legi  to Issey  upnivesh  ke vyapar me haani hogi .

East India company ke kuch jahaj Boston  bandargaah par ruke hue the.




Boston ke logo ne un jahajo ko lut liya .
or 34 baxo ko samundra me faik diya .
.



isko hi Boston ki chai party ki ghatna kaha jata hai.


Boston ki chai party ghatna  ka parnaam :-
is ghatna se England me kafi  uttejna  faili .


British sansad ne daman nitee ka prayog kiya or Massachusectis  act. laagu  kiya gaya .
is kaanun ke jariye  British comander ko America ka rjyapal banaya gaya .






sabhi vaanijya ke liye  Boston bandargaah band kar diya gaya.
Quebec act ke anusaar Canada ki seema ouhaayo nadi tak bada di gai.
Roman kaitholiyoko ko vishesh suvidha di gai .
kaitholik charch ki prdhanta kaayam hone se pyuritano ko kasht hua .





British sarkar  ki damankari nitee ka , pratikul prabhav up nivesho par pada .
vo log aapas me sangthit hokar  .
5 set. 1774 ko filehedefiya  me pehli baar  Congress ki baithak hui.



jisme uoniveshvashiyo ne apne adhikaaro ka ghoushna patra taiyar kiya  .



British sansad dwara pariya kaanuno ko khatm karne ki maang ki gai 




britain ke sath aayat niryat band karne ki maang ki gai .


lard north ne upnivesho ke sath samjhota ka prastav rakha  .


lekin prashtav aane me bahut dair ho hai thi  is bich yudh ki ki ghoushana ho gai thi jo America swatantrata sangram kaha gaya.


Friday 28 September 2018

dhara 497 band hone ke nuksaan or faayde Adultery Law in Hindi: पति, पत्नी और वो: नाजायज रिश्तों को अपराध ...

dhara 497 band hone ke nuksaan  or faayde:-



ye articale History ke baare me nahi hai .aj kuchh baate aapse share karunga jisko apko apni kasoti  par dekhna .


vybharik faisla image






or apko lage mera ye mat sahi hai to apko share karna hai .

is Dhara 497 ke band hone se  ke fayde or nuksàan bhi admi or ourat ke hissab se hai .

pehle hum iske fayde dekhte hai .
1) is dhara ke band hone se  pehla fayda ye hoga ki  jis kisi insaan ka ghar nahi basa hai vo bas jayega .


2) har insaan ko apna man pasand partener milega .



3) is ke band hone  se jo insaan apne life partner se nakhush  hai to badal sakte hai .
or khush rah sakte hai .

4) sabko azadi mil jayegi ..

 bas mere hisab se itne hi fayde milenge .



aiye ab nuksaan ko dekhte hai .



1) iske band hone se divorce jyada hone .




2)  log apne  life  partner par wishwash nahi karnge .



3) iske band hone se desh me morder jyada honge .

4) is Dhara ke band hone se marrige sirf ek contract ban jayega .


5) isse  Hindu dharm ka siddhant khatre me pad jayega .

6) is ke band hone se Bharat ki pavitrata  khatm hone lagegi .

7 ) log apne partner se vafadari karna band kar denge .

to dekha apne is Dhara 497  ke band hone se kya fayde honge or nuksaan   ab app hi faisala kare apko kya chahiye .
 .


mujhe lagta hai isme fayda kam or nuksaan jyada hai  to suprime court ko ye faisla vaapas lena chahiye  
  
ab baki jo desh chahega  vahi hoga   

doston ye mera sirf anmaan hai  .  


apko is post ko lekar jo bhi ray hai comment kare   .



or is post ko adhar bana kar koi bakheda khada na kare .


Monday 24 September 2018

mahatma gandhi ki 11 maange ,11Demand by gandhi

mahatma gandhi ki
 11 maange  ,11Demand by gandhi .

mahatma gadhi image
mahatma gandhi






mahatma gandhi ne hinsatmak gatna chori choura naamak jagah pr Andolan kariyo ne 1 thanedar or 11 sipahiyo  ko jalankar maarne ke baad  apna Asahyog Andolan rok diya .

kyoki ve ahinsa ke paksha me the . Asahyog Andolan  ki asaflata ke baad  

mahatma gandhi ji ne 11 february1930 ko savinay avgya Andolan laana chahte the,

lekin sthitee ko dekhte hue ,sarkar se ek samjhota karne ki koshish ki .
unhone  lord vaisaray irwin ko  ek patra likha jisme 11 mange Rakhi .

mahatma gandhi ki 11mannge :-

1) puri tarah se sharab band (total prohibition) 


2)vinimay ki dar ghatakar  ek silling 4 pais kar di jaaye .(Exchange Rate should Reduced) 


4) bhumi lagaan  adha ho or us  par counsling ka niyojan rahe .( land Rates be helved ) .


5) namak kar  khatm ho .(salt tax shouldbe abolished ).


6) saina ka kharch 50% kam ho.(Defance expenditure should be Reduced by 50% .)


6) badi noukriyo ka vaitan adha  ho .(salaries of  tip govt. posts hshould  be helved 7) videshi shastro ko Bharat na laaye .(inport of foriegn textile  be banned ) .



8) Bharatiya samudriya tath keval Bharatiy jahajo ke liye  surakshit rahe or is par kaanun bhi bane .(Indiansea  coast should be Reserved  for Indian ship only) .


9)  sabhi rajnetik  bandityo ko chhod diya jaaye or .,rajnetik mamale khatm kiye jaaye or nirvasit Bharatiyo ko apne desh aane diya jaaye .( all  political prisons  should be Released  and thier political  cases  should be  dropped) 



10) gupt char police hataliye jaaye ya us par janta ka niyantran ho.(secret police be either  obolished  or placed under the public.) 



11)  AtmRaksha ke liye hathiyaar uthane ki anumati di jaaye .(Arms for self protectin be  permitted .) 






mahatma gandhi ki in 11 maango (eleven  demands by mahatma gandhi par lard irwin ne dhayan nahi diya ,jisse unke man nirash ho gaya or Dandhi yatra  ke sath  savinay avagya Anolan chalaya 



read mor






Birsa munda andolan birsa munda movement un hindi

Birsa munda andolan .

1857 ke baad mundao ne sardar  andolan chalaya  . jo ek shant andolan tha. jisse adivashiyo ki sthitee me koi badlav nahi aaya .

Buesamund image
Birsa munda







Mundao ne agami Andolan ko ugra rup dene ka faisala kiya.
sardar Andolan ke thik viprit  Birsa munda Andolan  ugra or hinsak tha .
is andolan ke naita Birsa munda ek padhe likhe naita the.
ye Andolan  anek uddeshya ke liye chalaya tha ..







is Andolan ko mix Andolan bhi kahte hai.


kyoki isme  arthik rajnetik  badalaav or dharmik  purnutthan jaise kai mudde the.





Birsa muda Andolan ka arthik uddeshya :-  Birsa munda Andolan arthik uddeshya tha ,ki  diku jamidaaro (GAIR ADIWASI JAMIDAR) ne jo jamin kabze me ki thi usko vaapas lena .




adiwasi lambe waqt se is ke liye sangharsh kar rahe the.

or inko angreji sarkar se kisi baat ki ummid nahi thi .

isliye agreji shasan or Munda raj ko sthapit karne ka faisala liya .


Birsa munda ne ek naye dharn ka sahara lekar mundao ko ek kiya .
mundo ne 1899-1900 me vidroh kiya .



Birsa munda ki bhumika :- Birsa munda ne adiwasiyo ki khasta haalat dekhkar ,janindaro  or thaikedaro ke atyacharo  se mukti dilana  chahte the.


Birsa munda jaante the  ,ki shanti se koi kaam nahi hoga .isliye is Andolan ko ugra banane ke liye adhik se adhik navayuvko  ko sammalit kiya .



Birsa munda ne ye ghushna kar di, ki koi sarkaar ko tex nahi dega .


Mundao unki baat maan li .



Birsa munda ki girftaari :- Birsa munda mo vidroh failane je jurm me 1895 ko girftaar kar liya .

unko 2 saal ki kaid hui .
iske baad jab vo chhut kar bahar aaye  tab or bhi ursaah je sath ,yuvao ki is Andolan ke liye uksaya . apni sabhae janglo ne chhipkar karne lage ,or sabhi ko is Andolan me bhad laune ko kaha .

is Andolan  me kai begunah ki mout hui  ,jo ki sarkari noukar the.





Andolan ka patan:- 1899 me crismus ka din  mundao ne  hinsak virdoh kiya sabse pehle jo munda isaai bane the or jo sarkari kaan karte the.unko maarne ka praayas kiya ,lekin baad me is nitee me badlav kiya gaya .




or unko chhodkar isai
 mashnriyo ke virudh awaj uthai .

Ranchi or singhbhum me anek charch me adiwasiyo ne hamle kiye ,or police Mundao ke krodh  ka vishesh shikar bani .

parshan sarkar ne police or army ki madad or mundao ne chhapamar yudh ka sahara lekar police or army ka samna kiya .


lekin banduk ka mukabla teer kaba tak karti .
feb. 1900 me Birsa munda ko pheer se girftaar kar liya .
 un pr rajdroh  ka ilzam lagakar  mukadma chalaya .

is douran unko haija ho gaya or 9 june 1900 ko unki mout ho gai  .
parinaam:- Birsa munda  ki mout kr baad Andolankamjor pad gaya Birsa munda ke 3  sahyogi ko phansi  ki saza hui .
anek mundao ko jail bhej diya .
 iske baad Andolan vifal ho gaya  .


lekin baad me sarkar ko is topic par sochne ke liye  majboor hona pada  .
or aduwasiyo ki jamin ka sarvey kiya gaya  .



1908 me hi chhota nag pur kastkaari kaanun (chhota nagpur tenancy act 1908) parit hua  or mundao ko jamin sambandhi kqi adhikar mile  .




munda samuday  Birsa munda Bhagwan maante the.


interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...