Monday 10 September 2018

Mahismati nagar bahubali ke mahismati nagar ki sachchai ,mahabharat kaalin mahismati

bahubali ke mahismati nagar ki sachchai ,mahabharat  kaalin mahismati -

mahismati nagar ki sachchai
introducton  of mahismati

bahubali film ka nagar mahishmati  sochh ka nahi ,Balki Itihash ka nagar hai jo pehle kabhi raha tha 



dosto ap sabhi  ko film bahubali to yaad hi hogi .
aj hum ap ko Bahubali ke Mahismati  nagar ki baat karenge.





ji haa doston Mahismati nagar koi kalpna nahi  hai,sach me mahismati nagar tha.
 or ye nagar Mahabharat kaal ke samay me tha .



Mahismati nagar  ki sthitee-
ye nagar  avanti mahajanapad me tha .
jo ki Mahabharat ke dirgh nikay  or bhi nay grantho me likha hai.




avnti Mahajanapad  ke dakshini bhag me ye ek important  nagar  tha.

baad me ye anup mahajanapad  ke rajdhani  ban gaya .


ye nagar  aj ke samay ke  Madhya pradesh  ke narmada ke kinaare sthit  Maheshwer Nagar or uske aas pass ke ilaake me tha.

kaha jata hai  ki ,ye nagar  14 youjan ki  hokar  Pandav kaalin shuv mandir wala gaanv choli ( tehsil maheshwer  dist. khargone ) tak tha .


kaha jata hai ki Aadi guru shankrachary or mandan mishra ka shastrarth yaha par hi hua tha .
aj us jagah ko chhappan dev mandir kaha jata hai.



Bharatiya prachin me Mahismati nagar ke baare me  sahi  tarah se maalum nahi hai.
kuchh logo ki maane to ye nagar Narmada nadi ke kinare par tha.



ye Ujjaiyani  nagar ke dakshin or Pratistha nagar ke uttar me in dono nagar ke bich me tha.


Mahrshi Patnjali ne likha hai ki.
jo yaatri Ujjaiyani se yatra shutu karta tha to Mahismati me suryoday hota tha.



ye nagar Anuo Mahajanapad ki rajdhani thi.
Avanti "vindhya parvat "ke jariye do bhago me vibhakt  hota tha.

Ujjaiyani  uttari or Mahismati dakshini bhag me tha.



Mahismati ke raja or uski  kahani - 

kahte hai mahismati ka raja neel tha .
agnidev neel ki rajkumari se prem karne lage  the.
jisse raja naraj ho gaye .
agnidev ne  rankumari ko rijhane ke liye  ek brahman ka rup le liya tha . tab raja ne uski sajaa ka aadesh de diya , uske baad agnidev apne asli rup me aa gaye .
pheer ne apna adesh vaapas le liya 



raja neel ne  agni dev ko rajya ki surkhsha ke liye mana liya 

kai saal baad jab pandav rajkumar  yudhisthir  har kisi se jeet prapt karne ka abhiyan chalaya tab  sahdev ne Mahismati par hamla karne se pehle  agnidev se prarthna ki thi. 



iske baad Neel ne  kurukshetra ke yudh me  sarthi ka kaam kiya .




vishnu puran ke anusaar  Rawan ne kaartvirya  arjun ke sshasan kal me  Mahismati par hamla kiya  jsme rawan ki haar hui thi.



dosto kaisa laga ye articale mujhe jarur bataye


Saturday 8 September 2018

Vijay nagar or samrat krishna dev ray

Vijay nagar  or samrat krishna dev ray ;-
vijay nagar samrajy
vijay nagar 

jab mohhammad  tuglaq  dakshin me apni shakti kho raha tha.

tab do hindu rajkumaar  harihar  bukka ne krishna or tungbhara  nadiyo ke bich 1336a.d. me ek swatnatra rajay ki sthapna ki  .

jald hi unhone kanveri  or krishna nadi ke bich is pure kshetra me  apna rajya sthapit kar diya ..

Vijay nagar samrajy  ki badhti shakti  se in shaktiyo ke bich takraw  hua  or bahimany samrajya ke sath  kai baar yudh hua .


also read;-

purv madhya kalin itihas

prune bharat ke itihas ka antim raja




krishna dev ray;-

Vijay nagar samrajya ke sabse parshidha raja "Krishna dev ray the .




Vijay nagar ka rajvansh  unke  kary samay me apne vaibhavta ke charam bindu par aa gaya .
unhone sabhi ladaiya jitee ,jo unhone ladi  .


krishna dev ray ke vyaparik sambandh;-krishna dev ray ke paschime desho ke sath vyaprik sambandh the.
unke purtgaaliyon ke sath achhe sambandh the,jika vyaparik kendra un dino  Bharat ke paschimi tato pr sthapit ho gaya tha .


ve na keval ek mahaan yodha ke sath kalaao ke gyata bhi the.
or unke sanrakakshak bhi the.
.




krishna dev ray  ke rajy me vikas ;-
inke kaary kal me telgu saahitya ka kafi vikas hua .
inke dwara  chitrakala  shilpkala  nratya(dance) or sangit ka kafi vikas hua .




krishna dev ray ka vyaktitva ;-
krishna dev raykafi dayawan ,akrshik ,or adarshvadi  insaan the.








Vijay nagar ka patan ;-
Vijay nagar ka patan 1529 a.d. me krishna dev ray ki mout ke baad shuru ho gaya tha .
ye samrajy 1556a.d.  me puri tarah khatm ho gaya.



adilsha,nijaam shah, kutub shah ke sath prayaas ke dwara talikoto me ramray ke parajit kiya .
iske baad is rajya ke kai tukde ho gaye .

Friday 7 September 2018

Delhi par shasan दिल्ली सल्तनत


Delhi par shasan

bharat ke Itihas me 1206 ad se 1520 ke bich Delhi par muslim shasako ka rajy tha .

is avdhi ke douran 300 saalo tak delhi par shasan kiya.

 jiske rajvans hai .




1) Gulam vansh .-1206 se 1290 tak.;-islma me samanta or parmparaye  Dakshin asia ke Itihas me apne charam bindu par aphuch gai .jab Gulam vansh ko sultan ka darza mila 

Gulam vnsh ne 84 saal tak rajy kiya  .
ye ek muslim vansh tha .
jisne Bharat  par rajya kiya .

mohhamad gory ka ek Gulam " kutubuddin eabak ne apne maalik  ki mout ke baad shasan kiya or Gulam vansh ki sthapna ki .
ye ek maahan nirmaata bhi the.
jisne Delhi me 238 fit uchhe patthar rupi minar ko banaya .
eltutumash;-Gulam vansh aglaa shasak shamsh uddin eltutmash tha.
jo kutubuddin ebak ka Gulam tha .
eltutmash ne 1211 se 1236 tak 29 saal tak rajya kiya  eltutmash ki kaabil ladki thi Razia baigam.jo apne samay ki antim mahila shasak thi  jisene Delhi par shasan kiya  .
eltutmash apne sabse chhote ladke nasaruddin mehmud ko 1245 me sultan banaya  usne 20 saal tak rajya kiya .
lekin.uski puri shakti uskemantri balban ke haatho me thi.










mehmud ki mout ke baad balban ne  1266 se 1287 tak rajya kiya or mehmud ke adhure kaam pure kiye .



khilji vansh .
balban ki mout ke baad saltanat kamjor ho gai  or kai bagawate bhi hui yahi vo samay tha  jab  rajao ne jalaaluddin khlji ko rajgaddi par baithaya . iske baad "khilji vansh" ki s5hapna hui .
is raj vansh ka rajkary 1290 me shuru hua .
alluddin khilji ,jallal uddin ka bhatija tha .

allah uddin khilji image
allah uddin khlji




alhauddin ne jalaal uddinko maar kar  rajya hathiya liya 
or 1296 me khud rajya karne laga  .allahuddin pehla muslim shasak tha .jiske rajy me  pure Barat par par kabza kiya tha .
usne kai ladai ladi jisme jeet pa li thi 


uske 20 saal ke rajy me kai baar muglon ne hamla kiya  lekin isne kai baar hamla vifal kar diya.



iske pass kafi hasthpusth  or shatishali saina thi  leki 1316 Ad me  iski mout ke baad kilji vansh khatm ho gaya .



tuglak vansh ;-gaysuddin tuglak  allahuddin ke samay me punjab ka rajpal tha  lekin allahuddin ki mout ke baad 1320 me tuglak vansh ki sthapan ki

isne vargal par vijay prapt ki  or bangaal me bagawat ki 

mohhamd bin tuglak ne apne pita ka sthan liya or apne rajy ko "madhya asia " taraf badaya .
magol ne hamla kiya or inko bhi haraya.

tuglak samrajy
tuglaq dynasty





mohhamad tuglak ne apni rajdhani Delhi se hatakar dev giri banaya .
leki 2 saal baad  apni rajdhani Delhi banaya .
ek bade rajya ko virasat me mila .
lekin kabze me nahi rakh saka   khas kar bangal par niyantran nahi rakh paaya .
uski mout 1351 ad me hui uske baad uske bahtije  firoz tuglak ne uska sthan liya  .

lekin firoz tuglak ne sima badaane par  dhyan nahi diya  .

or apni virasat ka jyada tar hissa praja ke liye kharch kiya 

1338 ad me iski mout ke baad  tuglak vansh khatm ho gaya  

temur ka hamla ;-tuglak vansh ke antim raja ke samay ke douran  Shaktishali temur ya temralen ne 1398 A.d.  me bharat par hamla kiya  .

usne sindhu nadi ko paar kar multan par kabza kar liya or delhi ki or badha .
 

sayid raj vansh;-iske baad khijar khan ne  Sayid Rajvansh ki sthapna ki ki Sayid ne 1414 a.d.  se 1450a.d. tak rajya kiya  .




Sayid rajvansh me  antim shasak mohhammad bin farid the.


ye samrajya unki mout ke baad khatm ho gaya .


inko bhi pade



lodhi raj vansh ;- bahlul  khan lodhi 1451 se 1489 a.d.  vo lodhi rajvanshka pehla shasak tha.  




Delhi ki purani vaibhata laane ke vichar ke sath inhone jonpur shaktishali rajvansh ke sath anek kshetro me jeet haasil ki.


buhlul khan khan ne Gwalior,jounpur , or uttar pradesh me apne rajya ko failaya .








sikandar lodhi;-1489se 1517 a.d. ;-buhlul khan lodhi  ke baad unke putra nijaam shah khan raja bana  or  1489 me unhe  "sikandar shah "ka khtaab mila .

unhone apne apne rajya ko punjaab se bihar tak failaya



ve bahut achhe shasak or  kalaa ke rakshak the . unki mout 1517a.d. me hui thi.

ibrahim lodhi image
ibrahim lodhi



 ibrahim lodhi .1489se 1517 a.d. .;-  ibrahim lodhi ek ayogya shasak siddha hua  usne dusre rajao ke sath sakhti se paish aana shuru kar diya  .
or kai hindu madiron ko lutne ka abhiyan bhi chalaya  .
jiske kaaran dusre rajao ne apne apmaan ka badla lene ke liye  kaabool ke shasak baabar ko Bharat par kabza karne ka nimatran bheja  ibrahim lodhi ko  baabar ki saina ne 1526 a.d. me  panipat ke yudh me maar diya  iske sath hi   bharat me muglo ka rasta saaf ho gaya  .










Thursday 6 September 2018

gupt samrajya or uska rajvanshगुप्त साम्राज्य इतिहास › गुप्त-सा...

gupt samrajya-    kushano ke baad gupt samrajya ek mahatvapurn rajya tha  gupt samrajya bharat ke Itihas ka pashidha yug kaha gaya hai.

gupt  samrajy ki shruat . is rajya ka uday  320 me koushabi me hua   .

is samrajy ka sansathapan shree gupt ke dwara hua   
gupt rajao ka rajya  ganaga ,droni  ,prayag  or sanket tak faila  hua tha shree gupt ko "maharaja " ki upadhi saamnato ne di thi.


gupt dytny
gupt samrajy



iska matlab ki shree gupt  bhar shivo ke chhote se rjaya 

prayag ka  raja tha .


ghatotkach- shrew gup ke baad uskaputa gaddi par baitha.280  se320 e tak usne rajya kiya  .
isne bhi majaraj ki upadhi prapt ki thi.
kahi kahi isko pahala shasak kahye hai.
 chandra gupt 1-320 me   chandra gupt  1 apne pita ghatotkach ke baad  bama  gupt samrajya ka  samradh yug  yahi se shuru hua 319 me  gupt sanvat ki sthapna hui  . jo ki mathura se mila  ,isi chandra gupt ki den hai.

yahi pehla aosa shasak hai jisne sone ke sikke (gold coin) chalaaye the .chandra gupt ka vivah lchhvi ki rajkumari kumar devi se hua tha .




 samudra gupt-
samudra gupt gupt vansh ka mahaan sahasak tha  or kushal sainapati tha .
is kaaran isko bisent arther smithne apni ali hisrty of india  me samudra gupt ko bharat ka nepoliyan kaha tha.
samrat ashok  shantipriya tha.
bbalki samundra gupt hinsa me  vishvas rakhta tha 


gypt empare
gupt empire






samundra guptke rajya ka vistar  purva me bhramputra .
dakshin me narmda  uttar me kashmir me faila tha.
prayag prshasit ki 19- 20 line me dakshinpath ki vijay ka ullekh hai  isne 12 shasako ko haraya tha.

ramgupt-samundra gupt ke baad ram gupt ko raja banaya gaya  samundra gupt ke do putra the  ram gupt or  chandra gupt  . ramgupt bada tha . isliye usko raja banaya gaya .
lekin vo kaayar or kamjor tha .
vi shanko dwara haara gaya or ek apmaanjanak sandhi kar  apni patni dhrvswamini ko sanko ko bhnet me de di .
 lekin chandra gupt bada hi bahadur or swabhimaani tha .
 usne chhadambesh me dhruvswamini ka vesh bana kar shank ke paas chal gaya  uske baad  .ram gupt ko chandr gupt ne maar kar uski patni se vivah kar liya  or  gupt vans ka samrat ban gaya .



chandra gupt 3-chandra gupt 2 375 me raja bana  .
vah usko  samundra gupt ko pradhan mahisee  duttdevi se mila tha.
 usnr 375 se 415 tak rajya kiya  isko vikramaditya bhi kahte hai.
isne malwa gujrat  or kathiyavad kr badr bhubhag ko jit liya . or paschimi desho  se vyaparik sambandh banaye .
iske shasankaal me smbhavatah samskrat ke naatakkar  kalidas or bahut se vaigyanik or vidvan hue.




gupt vansh ki avnati .-5 shatabdi ke akhir me or chhat shatabdi ke shuru me uttri bharat me gupt vansh ki avanati shuru hui .
bahut se chot chhote rajyo  hi or videshi huno ke ke hamlo ko akrshan kiya . huno ke naita tora mora tha .
or gupt samrajy jitne me safal raha 
uska puta mihira kul  bada  tanashah tha .



do shaktishali rajkumaaro ne malwa ke yashodharman or magadh ke baala ditua ne uskiskati ka kul or gupt samarajy  dono ko khatm kar diya

Sunday 2 September 2018

कड़वे प्रवचनों के लिए मशहूर जैन मुनि tarun sagar maharj ki jivan katha

Jain Muni Tarun Sagar Ji Maharaj  ka jivan 





jain muni tarun sagar ji maharaj photo
jain muni  tarun  sagar ji maharaj




jain muni tarun sagar ji ka janm 26 june1967 ko madhya pradesh ke damoh distric me hua tha.
inke mata pita ka naam shantibai jain or pratap kumar jain tha.
kaha jata hai ki inhonr 14saal ki umra me apna ghar chhod diya tha  or sanyasi ban gaye the.
inke 4 bhai .
or 3 bahane hai.
inka  orignal naam pavan jain tha.
shiksha-inki shiksha  chattisgar me hui thi.





gahr chhodne ke baad -tarun sagar ji maharaj ki bachapan se hi dharm  ruchi me thi isliye 8 march 1981 me ko ghar kar  sanyasi ban gaye  .
achary vidhyasagar ji se  brahmcharyki shiksha laine ke baad  acharya pushpdant se munishiksha li  .
pheer mudkar pichche nahi dekha  or ve jansant ban gaye . 




image for  tarun sagar ji maharaj
jainmuni tarun sagar ji maharaj



bhagwan mahaveer  ke adarsho par  chalnewale  muni  tarun sagar  ji ne samaj ko nai disha pradan ki 




jivan ki uplabdhiya-inko apne  kadve  pravachano ke kaaran ek krantikari  sant bhi kahte hai.

 inke pravachano khub suna jata hai.
6 fubrvery 2002 ko inhe madhya pradeshshasan ne  "rajkiya atihtee ka darza diya gaya .


iske baad  gujrat sarkar ne bhi 2 march2003  ko rajkiya atithee ka sanmman de kar navaja gaya .

20 july 1988 ko rajsthanke bagidhora 20 varsh ki umra me unke guru pushpdant ne "digambar mouk" ki upadhi di.
t.v. programe  mahaveer vaanike baad inki gintee  ek badi shakhsiyat me hone lagi

29 july 2012 ko gujrat ke mukhyamantri "narendra modi"  ne unhe  " tarun kranti sagar " naam ke purskaar se  sanmmanit kiya gaya.









mout.- in mahatma ji ki mout1sptember 2018 ko hui  .
inko 20 din pehle peeliya ho gaya tha.
 kaha jata hai ki inhone mout se pehle  apne guru se samaadhi ki anumati maangi thi.
leki inke guru ne manaa kar diya . iskr baad  akhiree samaya me  inhone  ek video cal jariye apne guru ke darshan kiye the 






doston  maine is article ko banane se se pehle kafi kuch khoj bin ki taaki ap sabhi ko sahi jaankari de saku  agar is jaankari se ap santusht hai to comment kare     mujhe  apni rai jarur de 

interim government अंतरिम सरकार in English

interim government On 2 September 1946, the newly elected Constituent Assembly constituted the Interim Government of I...