Boston ki chai party ki ghatna
boston tea party |
British sansad ke chhai ke vyapaar ke sambandh me naya banaya tha .
is kaanun ke anusaar Ishth India compney ko America chai bhejne ko kaha gaya ,Chai ke vyapar ko badane ke liye uske mulya me kami ki gai .
fal swarup America me chai sastee milne lagi thi.
East India company ko bhi labh ho jaha that.
lekin American logo ne is ko British ki chal samjha .
in logo ne socha ki yadi sansad vyaparik maamlo me adhikar banana legi to Issey upnivesh ke vyapar me haani hogi .
East India company ke kuch jahaj Boston bandargaah par ruke hue the.
Boston ke logo ne un jahajo ko lut liya .
or 34 baxo ko samundra me faik diya .
.
isko hi Boston ki chai party ki ghatna kaha jata hai.
Boston ki chai party ghatna ka parnaam :-
is ghatna se England me kafi uttejna faili .
British sansad ne daman nitee ka prayog kiya or Massachusectis act. laagu kiya gaya .
is kaanun ke jariye British comander ko America ka rjyapal banaya gaya .
sabhi vaanijya ke liye Boston bandargaah band kar diya gaya.
Quebec act ke anusaar Canada ki seema ouhaayo nadi tak bada di gai.
Roman kaitholiyoko ko vishesh suvidha di gai .
kaitholik charch ki prdhanta kaayam hone se pyuritano ko kasht hua .
British sarkar ki damankari nitee ka , pratikul prabhav up nivesho par pada .
vo log aapas me sangthit hokar .
5 set. 1774 ko filehedefiya me pehli baar Congress ki baithak hui.
jisme uoniveshvashiyo ne apne adhikaaro ka ghoushna patra taiyar kiya .
British sansad dwara pariya kaanuno ko khatm karne ki maang ki gai
britain ke sath aayat niryat band karne ki maang ki gai .
lard north ne upnivesho ke sath samjhota ka prastav rakha .
lekin prashtav aane me bahut dair ho hai thi is bich yudh ki ki ghoushana ho gai thi jo America swatantrata sangram kaha gaya.